Page 2 of 6

zakhm

Posted: Tue Apr 05, 2005 7:07 am
by Abdullah Nazir



zakhm-e-dil jiski inaayat hei bhalaa kiyaa jaane

Uskaa beemaar tarastaa hei maseeHaayi ko




Nazir.


"zakhm"

Posted: Tue Apr 05, 2005 2:08 pm
by Abdullah Nazir



zakhm de kar tou nah kar zuAm maseeHaayi kaa

kis liye shuq hei itnaa tujhe rusvaayi kaa.



Nazir.


Posted: Wed Apr 06, 2005 7:21 am
by syed bilal armaan
Dil ke har zakham se ati hai wafa ki khshboo
zakham chup jayeinge khushboo ko chupa'oun kaise...

"zakhm"

Posted: Wed Apr 06, 2005 11:54 am
by Abdullah Nazir



zakhm-e-dil se kahiN risne nah lage Taazah luhoo,

baaz aajaayiye lillah namak paashi se.




Nazir.


Posted: Thu Apr 07, 2005 2:54 am
by Hashmat Usmani
tumhaarii yaad ke jab zaKhm bharane lagte haiN
kisii bahaane tumheN yaad karne lagte haiN

zakhm

Posted: Thu Apr 07, 2005 5:29 pm
by Abdullah Nazir



hazaar zakhm sahe phir bhii uff na kii zaalim

hamaare zarf kaa ab aur imtiHaan nah le.




Nazir.


Posted: Fri Apr 08, 2005 1:09 am
by Hashmat Usmani
phuuloN kii aarzuu meN baR zaKhm khaaye haiN
lekin, chaman ke Khaar bhii ab tak paraaye haiN

Posted: Sat Apr 09, 2005 2:45 am
by Hashmat Usmani
lab sii diye haiN taa na shikaayat kare koii
lekin, har ek zaKhm ke muuNh meN zabaaN hai aaj

Posted: Sun Apr 10, 2005 4:58 am
by Hashmat Usmani
vo Khaar-Khaar hai ShaaKh-e-gulaab kii maanind
maiN zaKhm-zaKhm huuN phir bhii gale lagaauuN use

Posted: Sun Apr 10, 2005 10:11 pm
by Hashmat Usmani
us ne bhii koii zaKhm kuredaa nahiiN meraa
maiN ne bhii vaaqe'aat se sarf-e-nazar kiyaa

Posted: Mon Apr 11, 2005 3:06 am
by Hashmat Usmani
zaKhm pe zaKhm khaa ke jii, apne lahuu ke ghuuNT pii
aah na kar! laboN ko sii! 'ishq hai dil_lagii nahiiN

Posted: Tue Apr 12, 2005 5:19 pm
by syed bilal armaan
haath us ke bhi yaqeenan huye honge zakmi
jis ne meri rah'oun may kante bichhaye honge..

Posted: Tue Apr 12, 2005 10:01 pm
by najma
maiN ne dil ka diyaa jalayaa hay
zakhm-e-eh,saas rang laayaa hay
najma

"zakhm"

Posted: Wed Apr 13, 2005 3:32 am
by Abdullah Nazir



zakhm jou sookh gaye thay wo hare houne lage

teri yaadaoN ne mujhe chain se rehne nah diyaa.




Nazir.


Posted: Wed Apr 13, 2005 1:46 pm
by najma
marne pe mere uz,r na jeene pe e,tiraaz
sayyad ko hay zakh,m ke seene pe e,tiraaz
najma