Jab kabhi DhoNDhne nikle the khushi ka chehrah

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Post by Raji »

jawaid badauni wrote:Raji SahibaH

Apki Ghaal bahut pasaNd aaii. Meri janib se daad qubool kijiye.

Zindabad.

Khair Andesh
Jawaid
moHtaram janab-e-Jawaid Badauni SaaHeb

Aadaab-o-tasleemat,

takheer se khat ka jawab daine ke liye bohat ma'azrat khwa hooN. Ghazal kee pasandeedgi aur daad ke liye bohat mamnoon hooN. iss yaqeen ke saath keh aahinda bhi aap apnee aara se navaazte raheNge.

wassalam

Zahida Raees :Raji:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
User avatar
Anmol
-
-
Posts: 139
Joined: Sat Dec 11, 2004 9:32 pm
Location: California
Contact:

Post by Anmol »

Raji wrote:-----
1-Jab kabhi Dhoondne nikle thay khushi kaa chehrah
hamko miltaa hii rahaa gham ka shanaasaa chehrah

3-chand saalaoN kii masaafat meiN Ajab haal houaa
Dard kii dhoop paRii jal gayaa saaraa chehrah

4-Waqt-e-raftah se koii cheen ke laade mujhko
Meraa masoom saraapaa vohi piyaaraa chehrah
Dear Raji Sis, adaab!

:P Allah bhala kare Nazir Sahib ka jinhoN ne aap ki ghazal per tabsara karte hue aap ki ghalatioN ki nishaan'dahi ki aur phir aap ne naya version roman meiN post kia. Please roman zaroor likkha kareN, kabhi kabhi time itna short paR jata hay k hum khud type nahiN kar paate. :(

Btw, maiN asl meiN ye kehne haazir hui huN k aap ki ghazal bohot Khoob hay, munfarid zameen hay, aur aap ne nibhayi bhi Khoobi k sath. :-) Sab ashaar acche heN, sher#4 mujhe sab se zyada pasand aaya hay.

Daad qubool kijiye.
:-)
My Poetry Website>> http://www.tanhaa.net/anmol

A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
Post Reply