Page 2 of 2
Posted: Fri Sep 02, 2005 8:00 am
by Raji
jawaid badauni wrote:Raji SahibaH
Apki Ghaal bahut pasaNd aaii. Meri janib se daad qubool kijiye.
Zindabad.
Khair Andesh
Jawaid
moHtaram janab-e-Jawaid Badauni SaaHeb
Aadaab-o-tasleemat,
takheer se khat ka jawab daine ke liye bohat ma'azrat khwa hooN. Ghazal kee pasandeedgi aur daad ke liye bohat mamnoon hooN. iss yaqeen ke saath keh aahinda bhi aap apnee aara se navaazte raheNge.
wassalam
Zahida Raees :Raji:
Posted: Mon Sep 05, 2005 2:13 am
by Anmol
Raji wrote:-----
1-Jab kabhi Dhoondne nikle thay khushi kaa chehrah
hamko miltaa hii rahaa gham ka shanaasaa chehrah
3-chand saalaoN kii masaafat meiN Ajab haal houaa
Dard kii dhoop paRii jal gayaa saaraa chehrah
4-Waqt-e-raftah se koii cheen ke laade mujhko
Meraa masoom saraapaa vohi piyaaraa chehrah
Dear
Raji Sis, adaab!
:P Allah bhala kare
Nazir Sahib ka jinhoN ne aap ki ghazal per tabsara karte hue aap ki ghalatioN ki nishaan'dahi ki aur phir aap ne naya version
roman meiN post kia. Please roman zaroor likkha kareN, kabhi kabhi time itna short paR jata hay k hum khud type nahiN kar paate.
Btw, maiN asl meiN ye kehne haazir hui huN k aap ki ghazal bohot Khoob hay, munfarid zameen hay, aur aap ne nibhayi bhi Khoobi k sath.
Sab ashaar acche heN, sher#4 mujhe sab se zyada pasand aaya hay.
Daad qubool kijiye.