Page 2 of 2

Re: kioN aatish e hasrat mai hi jaltaa rahoN hardam

Posted: Sat Apr 23, 2005 9:42 am
by Mahtab Qadr
najm wrote:
Mahtab Qadr wrote:Aik Taaza Ghazal pesh khidmat hai apni aara aur naqd o basar se nawaaziye
Mahtab Qadr

jis roop mai tu chaahe maiN dhaltaa rahoN hardam?
mousam to nahi hoN ke badaltaa rahoN hardam!

jis cheez ko jee chaahe uthaaloN na kioN barhkar
kioN aatish e hasrat mai hi jaltaa rahoN hardam

tujhko bhi khyaal aaye kabhi apni wafaa ka
kioN raah e waaf per yoNhi chaltaa rahoN hardam

mujhko bhi khushi ho kabhi apne hi kiye par
maiN kioN kaf e afsoos hi maltaa rahoN hardam

ek bazm e tarab mai, maiN kisi shookh haseeN ka
aNchal to nahi hoN ke jo dhaltaa rahoN hardam

tu bhi to kabhi aa ke meraa saath nibhaaye
kioN tere tasawwur se bahaltaa rahoN hardam

maiN aabla pa hoN to mere hamsafar to bhi
dochaar qadam chal, ke maiN chaltaa rahoN hardam

mahtaab sar e shaam nikaltaa hoN maiN ghar se
haN shamma nahi hoN ke pighaltaa rahoN hardam

_________________

Mahtab SaaHeb, meri taraf se is haseen ghazal par daad qubool farmaaYeN.
Niazmand,
Najm
Najm sahib inayatoN aur daad ka shukria

Mahtab Qadr