Page 2 of 6

Posted: Sun May 01, 2005 2:27 am
by najma
baarishoN ki baateN to maslihat ki bateB haiN
pyaas ki zameenoN ko badaloN ne dekha hay
bakhsh

Posted: Sun May 01, 2005 3:59 am
by Hashmat Usmani
baat kia aadmii kii ban aaii
aasmaaN se zamiiN napvaaii


Meer Taqii "Meer"

Posted: Sun May 01, 2005 1:59 pm
by najma
bakhsh! kaun paRhta hay terii sach,chii tehreereN
jo qalam ne lik,kha hay. kaaGhazoN ne dekha hay
bakhsh

Posted: Sun May 01, 2005 10:55 pm
by najma
bid,at naheeN hay jaa,iz bachna hay shirk se bhi
rasta yehi hay seedha, dunya ko ye bataa do
azhar

Posted: Mon May 02, 2005 1:22 am
by najma
be-wafa kehta hi hay to maiN jafa bhi karlooN
wo saza de hi ragha hay to khataa bhi kar looN
najma

Posted: Mon May 02, 2005 5:32 am
by Hashmat Usmani
baRh gayaa thaa pyaas kaa ai'Hsaas dariyaa dekh kar
ham palaT aaye magar paanii ko pyaasaa dekh kar


Me'raaj Faizabadi

Posted: Mon May 02, 2005 12:20 pm
by najma
bataa to, :roll: saaqi-e-dauraaN/1 yahaaN par :?
tamanna ka shikastah jaam kyuuN hay :?
najma

Posted: Tue May 03, 2005 1:21 am
by najma
bheega hua lahuu meiN hay lafzoN ka pairahan
khooNbaarii-e-ghazal mere fan ki asaas hay

"bey"

Posted: Tue May 03, 2005 2:35 am
by Abdullah Nazir



Badan jalaa kiyaa furqat kii aag meiN shab bhar

seHar houi tou falak per thaa aaftaab miraa.



Nazir.


Posted: Tue May 03, 2005 4:26 am
by Hashmat Usmani
baat saaqii kii na Taalii jaayegii
kar ke taubaa toR Daalii jaayegii


Habeeb Jaalib

Posted: Tue May 03, 2005 12:27 pm
by Hashmat Usmani
baadal ko kia Khabar k baarish kii chaah meN
kitne buland_o_baalaa shajar Khaak ho gaye


Parveen shaakir

Posted: Tue May 03, 2005 12:36 pm
by najma
bujhane aey thay kuch log mere ghar ke chiraaGh
bujhaa sake na magar wo mirii nazar ke chiraaGh
khawar qureshi

Posted: Tue May 03, 2005 12:38 pm
by Hashmat Usmani
ba'd muddat unheN dekh kar yuuN lagaa
jaise be_taab dil ko qaraar aa gaya
aarzuuoN ke gul muskuraane lage
jaise gulshan meN jaan-e-bahaar aa gayaa



Roshan Nanda

Posted: Tue May 03, 2005 12:46 pm
by najma
bas apne maqsad-e-hastii pe rakh nazar:khawar:
naheeN khayal kisi ko tira, khayal na kar
khawar qureshi

Posted: Tue May 03, 2005 1:08 pm
by Hashmat Usmani
baa_hosh_o_havaas meN, deevaana! yeh aaj vasii'yat kartaa hai
yeh dil, yeh jaaN mileN tujhko, maiN tujh se moHabbat kartaa huuN


[naa_ma'loom]