Page 2 of 8

Posted: Wed May 04, 2005 10:17 am
by najma
noor-e-sahar ka daman-e-shab rang dekh kar
aankheN bhar aaeeN saghar-e-khooN,naab ki tarah
bakhsh

Posted: Wed May 04, 2005 1:05 pm
by Hashmat Usmani
aur koii dam kii hai mehmaaN, guzar jaayegii raat
Dhalte_Dhalte aap apnii maut mar jaayegii raat


Suroor Baarabankawii

Posted: Wed May 04, 2005 2:49 pm
by najma
shab-e-siyaah meiN roshan khayal mera tha
maiN kuch naheeN tha magar ye kamal mera tha
bakhsh

Posted: Wed May 04, 2005 5:25 pm
by Hashmat Usmani
dhuaaN uThaa thaa divaane ke jalte ghar se saarii raat
lekin, vo Khaamosh rahaa, duniyaa ke Dar se saarii raat


Shamiim Shahaabaadi

Posted: Wed May 04, 2005 7:33 pm
by najma
shigaaf paR gaey haiN ab nazar ke rozan meiN
khuda hi jane ke akab ikhtitaam-e-shab hoga
bakhsh

Posted: Thu May 05, 2005 1:48 am
by Hashmat Usmani
dil hai aaiina-e-Hairat se do_chaar aaj kii raat
Gham-e-dauraaN meN hai 'aks-e-Gham-e-yaar aaj kii raat


Abid Ali "Abid"

Posted: Thu May 05, 2005 9:46 am
by najma
lahuu ke deep jalao,siyaah raat kate
bujhi bujhi hay yahaaN mehfil-e-tarab kab se

shab

Posted: Thu May 05, 2005 10:07 pm
by Abdullah Nazir



ba-waqt-e-vaSl-e-shab unki jafaa kuch aur kehtii hei

bikhar jaatii hei jab zulf-e-dotaa kuch aur kehtii hei.



Nazir.


Posted: Thu May 05, 2005 10:19 pm
by najma
chaand kya cheez hay, sooraj bhi nikal aeyga
zulmat-e-shab meiN lahuu dil ka jalaey rakhna
bakhsh

shab

Posted: Thu May 05, 2005 10:33 pm
by Abdullah Nazir



kaTii hei umr-e-ravaaN be-charaagh shab kii taraH

magar andher nah nah thaa zindagii meiN ab kii TaraH.



Nazir.


Posted: Thu May 05, 2005 10:40 pm
by najma
shab guzeedah soorajoN se raushni milti naheeN
dhoondiye jugnuu koee apne makanoN ke liye
bakhsh

shab

Posted: Thu May 05, 2005 10:49 pm
by Abdullah Nazir



chaand kii kaunsi shab apnaa milan mumkin hei

tum nah boulou nah sahii, chaandni boule tou sahii.



Nazir.


Posted: Thu May 05, 2005 10:51 pm
by najma
manaa hisaar-e-shab abhi TooTaa naheeN tamaam
lekin namood-e-sub,h ke aacaar to huey
bakhsh

"shab"

Posted: Fri May 06, 2005 6:56 am
by Abdullah Nazir



Gou bazaahir jee rahaa hooN micl-e-shamA-e-bazm-e-shab

saans bhii merii wagarnah hei paraayii dekhiye.



Nazir.


Posted: Fri May 06, 2005 10:29 am
by najma
raushan rahega kirmak-e-shab,taab ki tarah
lauh-e-waraq pe jo mira harf-e-sabaat hay
bakhsh