Page 11 of 17

sabaqaamouz

Posted: Sun Jun 11, 2006 7:19 am
by Abdullah Nazir



ubhar aati hei taAbeer-e-galam se yaar ki Soorat

chupe wo laakh pardaoN meiN use pehchaan lete heiN


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sun Jun 11, 2006 12:39 pm
by Zahid Jahangir
ik tabassam ki zarb e mub~ham se, halqa e dard tauR lete hain

ham ko yeh kamaal haasil hai, gham se khushiyaN nachauR lete hain

sabaq-aamouz

Posted: Sun Jun 11, 2006 6:20 pm
by Abdullah Nazir
color=blue]


"kal paauN aek kaasa-e-sar per jo aagayaa
yaksar wo ustakhaan shikastaoN se choor thaa
kehne lagaa keh dekh ke chal raah be-khabar
maiN bhee kabhoo kisi kaa sar-e-purghuroor thaar".


Shaayer: Meer Taqi Meer.

[/color]
Nazir.


Posted: Tue Jun 13, 2006 8:36 am
by hassan_bashir
baat jo keejiYe aur jab keejiYe!!!!!!!!!!!!!!!!!
saath meiN zikr-e-mahbuub-e-rab keejiYe!!

sabaq-aamouz

Posted: Wed Jun 14, 2006 1:39 pm
by Abdullah Nazir



"nasheman phoonkne waale hamaari zindagi yeh hei

kabhi rouye, kabhi sajde kiyhe khaak-e-nasheman per."


Shaayer: Bekhud Mouhaani.


Nazir.


Posted: Mon Jun 19, 2006 9:27 pm
by ummassad
mujhey tuu unki ibadut ph rahem aata hey
jabeen ke saath jo sajdey main ser jhuka nh sakey

sabaqaamouz

Posted: Tue Jun 20, 2006 2:55 pm
by Abdullah Nazir



"thay tou aabaa wo tumhaare hee magar tum kyaa hou

haath per haath dhare muntazir-e-fardaa hou".


Shaayer: Allamah Iqbal


Nazir.


Posted: Fri Jun 30, 2006 1:32 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
wat^an kee fik kar nadaaN muSibat aane walee hai
tiree barbadiyoN ke mashware haiN aasmanooN meN.

iqbal.

sabqaamouz

Posted: Wed Jul 05, 2006 2:56 am
by Abdullah Nazir



"chashmak miri whHshat peh hei kyaa HaZrat-e-naaSeH

Tarz-e-nigah-e-chashm-e-fusooNsaaz tou dekho."


Shaayer: Mumin


Nazir.


Posted: Wed Jul 05, 2006 10:45 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
nah samjho ge miT jao ge ae hindostaaN walo
tumharee dastaaN bhee nah ho gee dastaaN meN.

shaer iqbal

Posted: Fri Jul 07, 2006 3:03 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Saef andaaz-e-bayaaN rang badal deta hai
warnah dunya meN koi bat naee bat naheeN

Saef Uddeen Saed

sabaq amouz

Posted: Sat Jul 08, 2006 5:21 am
by Abdullah Nazir



"taskheer faqaT aglaoN ne Aalam ko kiyaa thaa

aur tuu ne kiyaa hei dil-e-Aalam ko musakhkhar".


Shaayer: Haali


Nazir.


Posted: Sat Jul 08, 2006 2:24 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
dasht meN fikr-e-nasheman kee kashish baRhtee gaee
Dar raha hooN keh pata bhool nah jaooN ghar ka.

HaZ^rat Abdullah Nazir.

sabaq-aamouz

Posted: Sun Jul 09, 2006 5:08 am
by Abdullah Nazir



"qaid-e-Hayaat o band-e-gham aSl meiN dounoN aek heiN

Maut se pahle aadami gham se nijaat paaye kiyuN"


Shaayer: Ghalib


Nazir.


sabaqaamouz

Posted: Fri Jul 14, 2006 6:43 am
by Abdullah Nazir



"ham musaafir thay hamaaraa mustaqar koii nah thaa

raat jab aayi, jahaaN aayi, baseraa hougayaa".


Shaayer: seemaab akbaraabaadi


Nazir.