Page 11 of 44

Posted: Sat Feb 25, 2006 4:27 am
by ummassad
vo baat sare fasane main jiska ziker na tha
vo baat unko bahot nagwar guzri hy

pasandeedah

Posted: Sat Feb 25, 2006 3:16 pm
by Abdullah Nazir



"sanbhalne de mujhe ai naa-umeedi kyaa qiyaamat hei

keh daamaan-e-khayaal-e-yaar chooTaa jaaye hei mujh se"


Shaayer: Ghalib.


Nazir.


pasandeedah

Posted: Sun Feb 26, 2006 11:57 pm
by Abdullah Nazir



"bemehriy-e-aflaak se kiyuN khaak-basar hooN

yaaN Aib baRaa yeh hei ke maiN ahl-e-hunar hooN."


Shaayer: Mirza Dabeer.


Nazir.


pasandeedah

Posted: Fri Mar 03, 2006 1:20 am
by Abdullah Nazir



"koii veeraani sii veeraani hei

dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa".


Shaayer: Ghalib.


Nazir.


Posted: Fri Mar 03, 2006 4:34 pm
by ummassad
khulta kisi pe kyun mere dil ka mamila
sheeroun ke intikab ne ruswa kiya mujhe

pasandeedah

Posted: Fri Mar 03, 2006 4:44 pm
by Abdullah Nazir



"waah ri shaane ki qismat kis ko yeh maAloom thaa

panja-e-shal se khulenge uqdah-haay-e-moo'-e-doust".


Shaayer: aathis.


Nazir.


Posted: Sat Mar 04, 2006 5:23 pm
by ummassad
hazaar braq ne chal phir ke mshq ki lykin
ada na aayi tere muskura ke jane ki

pasandeedah

Posted: Sun Mar 05, 2006 3:37 am
by Abdullah Nazir



"Aalam se kii hei SulH magar aek mere saath

jhagRe vohi Abac ke vohi jang ab talak".


Shaayer: Sauda.


Nazir.


Posted: Sun Mar 05, 2006 12:29 pm
by Shummu
har shakhs bana leta hai ikhlaaq ka mayaar
khud apne liye aur zamaane k liye aur

Posted: Mon Mar 06, 2006 6:28 am
by ummassad
ki mere qatul ke baad usne jafa se touba
haaye us zooud.e.paseeman kapaseema hona

pasandeedah

Posted: Tue Mar 07, 2006 2:28 am
by Abdullah Nazir



"MuHabbat meiN ek aisaa waqt bhi aataa hei insaaN per

sitaaraoN ki chamak se chouT lagti hei rag-e-jaaN per."


Shaayer: seemab akbaraabaadi


Nazir,


Posted: Wed Mar 08, 2006 2:54 am
by Daanish
ai dil tamaam naf'a hai sauda-e-ishq meiN
ik jaan ka ziyaaN hai, so aisa ziyaaN nahiN-- Aazurdah

pasandeedah

Posted: Fri Mar 10, 2006 12:57 am
by Abdullah Nazir



"khushi ke maare kahuN aaj mujhko KhiZr mile

jo raah-e-koocha-e-jaanaaN kaa raahbar mil jaaye".


Shaayer: Naacikh

[color-brown]
Nazir.

[/color]

pasandeedah

Posted: Fri Mar 17, 2006 4:23 am
by Abdullah Nazir



"aankheN miri talvaouN se wo mal jaaye tou achchaa

hei Hasrat-e-paabous, nikal jaaye tou achchaa".


Shaayer: zauq


Nazir.


Posted: Sat Mar 18, 2006 11:01 pm
by ummassad
hum tu hazeen yh samjhe the daaman jo bhigode paani hy
aansoo tu wahi ak qtra hy palkoun pe jo jhalke bah na sake