Page 11 of 29
Posted: Mon Mar 06, 2006 6:09 am
by ummassad
qafus main mujh se roodad.e.chaman kahte na der humdum
giri ho jis pe kal bijli vo mera aashian kyun ho?
???
Posted: Tue Mar 07, 2006 3:43 am
by Abdullah Nazir
tum ne kiyuN meri tamanna'aoN kaa khooN karDaalaa
aur barbaad mire dil kaa sukooN karDaalaa?
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed Mar 08, 2006 3:07 am
by Daanish
rahi na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhi
tau kis umeed pe kahiye, ke aarzoo kya hai?--Ghalib
???
Posted: Wed Mar 08, 2006 3:53 am
by Abdullah Nazir
khoon ki surkhi hei :Nazir: SafHa-e-qirTaas per
ab kahaaN baaqi bachi hei raushnaayi dekhiye?
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
???
Posted: Sun Mar 19, 2006 5:29 am
by Abdullah Nazir
labaoN peh shikawa-e-jaur o jafaa nahiN lekin
MaiN kyaa karuN ke miri chashm-e-tar nahiN chupti.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Mar 21, 2006 1:06 am
by ummassad
tumhari anjuman se uth ke deewane kahan jate
jo wabusta hue tum se wo afsaane kahan jaye
???
Posted: Tue Mar 21, 2006 12:39 pm
by Abdullah Nazir
Khauf-e-rusvaayi bhi hei pyaar kaa armaan bhi hei
kaise suljhegi yeh uljhi houi chaahat jaanaaN?.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
???
Posted: Sat Mar 25, 2006 1:17 pm
by Abdullah Nazir
raah-e-wafaa meiN zindagi kaise kahooN kiunkar kaTi
jitnaa safar mushkil houaa, utni hi aasaani houii.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Mar 28, 2006 3:43 am
by ummassad
apna deewana banaya mujhey hota tuune
kyun khird mand banaya na banaya hota
???
Posted: Wed Mar 29, 2006 3:11 am
by Abdullah Nazir
Jour ke baAd yeh tash'heer-e-sitam kyaa maAni
dast-e-meHboob meiN Aashiq kaa girebaaN kab tak.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Thu Mar 30, 2006 6:32 pm
by ummassad
kyun reyt pe bythey ho jhoukaye huye sir ko
kya tum ko samander ki hawa kuch nahi kahti ?
???
Posted: Fri Mar 31, 2006 2:30 am
by Abdullah Nazir
chaarah-saazyi-e-veHshat aur dasht-e-ghurbat meiN
juz tumhaare dar ke ham kiyuN kisi ke dar jaate.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
???
Posted: Tue Apr 11, 2006 1:04 am
by Abdullah Nazir
KiyuN karrahe ho yaad tum apne shabaab ko
rehne do Taaq per hi puraani kitaab ko.
Shaayer: namaAloom
Nazir.[/i]
???
Posted: Tue Apr 18, 2006 1:29 am
by Abdullah Nazir
Mushkil hei muHabbat meiN jahaaN saans bhi lenaa
maiN kaun tiri zulf-e-pareshaaN se mujhe kyaa?
Shaayer: Abdullah Nazir.
{/color]
Nazir.
Posted: Wed Apr 19, 2006 9:43 pm
by ummassad
dil yeh paagal dil mera kyun bujh gaya diwangi
is dashat main ak saher tha wo kya hua diwangi