Page 11 of 65
"merii"
Posted: Wed Apr 13, 2005 3:51 pm
by Abdullah Nazir
Merii her baat ko baataoN meiN uRaadete hou
kin gunaahaoN kii khudaa jaane sazaa dete hou.
(kin /hou)
Nazir.
Posted: Wed Apr 13, 2005 4:01 pm
by najma
bohat khoob
hoga dil se bhi ziyadah yahaaN naadaaN koee
DhoonD ne nikla, ilaaj-e-Gham-e-dauraaN koee :?
najma
DhoonDne/koee
"DhoonDne"
Posted: Wed Apr 13, 2005 6:13 pm
by Abdullah Nazir
DhoonDne jaayeN kahaaN tujhko bayaabaanaoN meiN
ham heiN pahle hii se shaamil tire deewaanaoN meiN
( ham / meiN }
Nazir.
Posted: Wed Apr 13, 2005 7:27 pm
by najma
ham ne to chaahaatha, un se mud,da,aa kardeN bayaaN
lafz kuch aaey zabaaN par, aur aa kar reh gaey
najma
lafz/gaey
"lafz"
Posted: Wed Apr 13, 2005 8:53 pm
by Abdullah Nazir
lafz aajiz agaaye, kaise bayaaN hou Haal-e-dil
shaam-e-hijraaN teraa aanaa ghair mumkin hougayaa.
(shaam / hougayaa)
Nazir.
Posted: Wed Apr 13, 2005 9:03 pm
by najma
shaam-e-zindzgii
maatamii libaas
doobne lagii
zindagii ki aas
najma
zindagii/aas
"zindagi"
Posted: Wed Apr 13, 2005 9:20 pm
by Abdullah Nazir
Zindagi tere liye sahte rahe dard o alm
Aur jab maut aagaii her kaam aasaaN hougayaa.
(aur / hougayaa)
Nazir.
Posted: Wed Apr 13, 2005 9:22 pm
by najma
aur ban jaaooNgaa saaqii ko dikhaane ke liye
hosh aayaa bhi to keh-doongaa, mujhe hosh naheeN
hosh/naheeN
"housh"
Posted: Wed Apr 13, 2005 9:33 pm
by Abdullah Nazir
housh kis ko thaa bhalaa housh tou ab aayaa hei
jabkeh daaman hei salaamat nah girebaaN saahib.
(jab / saahib)
Nazir.
Posted: Wed Apr 13, 2005 9:39 pm
by najma
saahib ho, maar Daalo mujhe tum wagar-na kuch
juz aashiqii, gunaah naheeN hay ghulaam kaa
meer
juz/ghulaam/ka
"juz"
Posted: Wed Apr 13, 2005 9:54 pm
by Abdullah Nazir
juz shahaadat nahiN is dehr meiN maTloob mujhe
mere qaatil ko bulaaou, maiN khaRaa hooN tanhaa.
(mere / tanhaa)
Nazir.
Posted: Wed Apr 13, 2005 10:08 pm
by najma
fil badee, pesh hay
tanhaa chale ho dekh lo gum ho na jao tum
ab koee sang-e-meel milega na raah meiN
najma
ab/meiN
Posted: Thu Apr 14, 2005 5:24 am
by Hashmat Usmani
maiN jaantaa huN ki tu Ghair hai, magar yuNhii
kabhii kabhii mere dil meN Khayaal aataa hai
kabhii/hai
Posted: Thu Apr 14, 2005 8:54 am
by najma
kabhi kabhi to dharakta hay aise gil, goya
bohat qareeb se aawaaz terii aatii hay
najma
bohat/hay
Posted: Thu Apr 14, 2005 12:35 pm
by Hashmat Usmani
nahiiN ma'loom kis kis ka lahoo paanii huaa hogaa!
qayaamat hai sarashk_aalooda honaa terii mizgaaN kaa
qayaamat / kaa