Page 11 of 43

javaab

Posted: Fri May 06, 2005 6:45 am
by Abdullah Nazir



hamaara kyaa thaa ham tou aapko apnaa samajh baiThe

yeh kyaa mushkil hei ab khalq-e-khudaa kuch aur kehtii hei.




Nazir.


Posted: Fri May 06, 2005 10:34 am
by najma
maiN apnoNki mohabbat meiN watan ponchi jo aiy :NAJMA:!
to tha baRh chaRh ke har koee mire samaan ka maddaah
najma

javaab

Posted: Fri May 06, 2005 7:16 pm
by Abdullah Nazir



kabhii manzil kii tamannaa meiN qadam baRhte heiN

rouk dete heiN kabhii paaooN ke chaale mujhko.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Posted: Fri May 06, 2005 8:02 pm
by najma
main unkii aur wo merii pukaar sun na sake
agar-che koo-e-sitam meiN ham aas-paas rahe

javaab

Posted: Fri May 06, 2005 11:08 pm
by Abdullah Nazir



shoukhiy-e-chashm se ghaafil nahiN rehtaa :Nazir:

jaane tuu apni tamannaa ko chupaataa kiyuN hei.



Nazir.


Posted: Fri May 06, 2005 11:23 pm
by najma
har tamanna ko milaa kar khaak meiN
ishq ki rak,khii hay ham ne aabruu
nafis ahmad siddiqui

javaab

Posted: Sun May 08, 2005 12:33 pm
by Abdullah Nazir



"mujhko dekh umr kii is khwaab fizaa manzil meiN

kitne armaanaoN kaa dam ghounT ke beidaar hooN maiN".




Nazir.


Posted: Sun May 08, 2005 6:15 pm
by najma
ghuT gaya armaaN ka dam dil meiN magar
ab naheeN dil ke chaman meiN rang-o-boo
nafis ahmad siddiqui

javaab

Posted: Mon May 09, 2005 5:04 am
by Abdullah Nazir



tujhe bulandiy-e-fikr-e-sukhan mubaarak hou

kabhi tou dekh khudaara mirii nazar se mujhe.



Nazir.


Posted: Mon May 09, 2005 9:07 am
by najma
tira jamaal hay tere wujood la eh,saas
bahaar aaey to khushbuu bhi saathlaatii hay
najma

javaab

Posted: Tue May 10, 2005 2:31 am
by Abdullah Nazir



thee mushaabih tiri zulfaoN se bahut hijr kii shab

gham tou yeh hei ke moyassar mujhe khushboo nah houii.



Nazir.


Posted: Tue May 10, 2005 2:55 am
by najma
gesuu-e-naaz jab bikherte hain
misl-e-mahtaab wo nikharte haiN
najma

Javaab

Posted: Thu May 12, 2005 6:47 am
by Abdullah Nazir



Zindagaanii ke masaayil kii Haqeeqat kyaa kahooN

Terii zulfaoN kii TaraH uljhaa kiye suljhaa kiye.




Nazir.


Posted: Thu May 12, 2005 8:55 am
by najma
zulf-e-barham ki baat karte ho
pech aur kham ki baat karte ho


najma

javaab

Posted: Thu May 12, 2005 9:06 am
by Abdullah Nazir



Zindagii meri hei paicheedah bahut, pahle hii

Uqda-e-zulf ke maanand nah mushkil houjaaou.




Nazir.