Page 12 of 17
Posted: Sat Jul 15, 2006 3:06 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
ek rooz khuda ko munh dikhana hai Z^aroor
bande! kabhee ban paRe to nekee karna.
Josh
sabaqaamouz
Posted: Sun Jul 16, 2006 2:47 am
by Abdullah Nazir
"oski burish kare maliulmaut jab khayaal
be-ikhtiyaar houke pukaare keh al-amaaN".
Shaayer:Sauda
Nazir.
Posted: Mon Jul 31, 2006 1:27 pm
by hassan_bashir
aap bhii aaiiye ham ko bhii bulaate rahiYe
dostii jurm naheeN dost banaate rahiYe
sabaqaamouz
Posted: Tue Aug 01, 2006 4:39 am
by Abdullah Nazir
"barang-e-ashk-e-nadaamat giraa jo aankh se maiN
khudaa ke saamne rutbah miraa buland houwaa".
Shaayer: Ameer Meenaayi
Nazir.
Posted: Sat Aug 05, 2006 10:34 am
by hassan_bashir
zindagi ik kiraaYe ka Ghar hai ik na ik dil badalna paRega
maut jab tum ko aavaaz degi Ghar se baahir nikalna paRega
yeh javaani hai pal bhar ka sapna DhuNd le koi mehbub apna
yeh javaani agar Dhal gaii to umr bhar haath malna paRega
sabaqaamouz
Posted: Sat Aug 05, 2006 2:26 pm
by Abdullah Nazir
"tnaaguftani hei Haal-e-bahaar o khizaan-e-baagh
ik zakhm hei keh khushk houaa aur nam houaa".
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.
sabaq-aamouz
Posted: Mon Aug 07, 2006 5:44 am
by Abdullah Nazir
"phool kee patti se kaT saktaa hei heere kaa jigar
mard-e-naadaaN per kalaam-e-narm o nazuk be-acar
Shaayer: raajah bhartari hari (Iqbal)
Nazir.
Posted: Thu Aug 10, 2006 11:18 am
by hassan_bashir
mujhe insaaniyat ka dard bhi bakhshaa hai qudrat ne
meraa maqsad faqat sholaa-nawaayi ho nahiN saktaa
Posted: Mon Aug 14, 2006 1:57 am
by Daanish
butKhaana toD Daaliye masjid ko Dhaaiye
dil ko na toDiye yeh Khuda ka maqaam hai--Aatish
sabaq amouz
Posted: Mon Aug 14, 2006 1:41 pm
by Abdullah Nazir
"hangaam-e-nazA meHv hooN tere khayaal kaa
kis kis bashar ko laayi hei dunyaa fareb meiN"
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.
Posted: Mon Aug 14, 2006 1:46 pm
by Daanish
hawas ko hai nashaat-e-kaar kya kya
na ho marna tau jeene ka mazaa kya--Ghalib
sabaqaamouz
Posted: Mon Aug 14, 2006 1:54 pm
by Abdullah Nazir
"kaAbah sau baar wo gayaa tou kyaa
dil meiN jis ne kisi ke raah nah kee"
Shaayer: Meer Taqi :Meer:
Nazir.
Posted: Mon Aug 14, 2006 1:58 pm
by Daanish
shabnam ki taraH sair-e-chaman bhi zaroor hai
ro dhhoke ek raat yahaN bhi guzariye
--Meer Hasan 'Hasan' Dehalvi
pasandeedah
Posted: Mon Aug 14, 2006 2:22 pm
by Abdullah Nazir
"apnaa charaagh sar-e-shaam hougaya
jalne kaa uske kaam nah pahouncha saHar talak"
Shaayer: BeHr
Nazir.
Posted: Mon Aug 14, 2006 3:38 pm
by ummassad
deekh zindaan se prey rang.e.chaman joosh.e.bahaar
raqs kerna hey tu phir paoun ki zangeer nh deekh