Page 12 of 44
pasandeedah
Posted: Sun Mar 19, 2006 4:37 am
by Abdullah Nazir
"jamaal-e-yaar ne muRkar bhi dekhne nah diyaa
pukaarte rahe dair o Haram hazaar mujhe".
Shaayer: zauq.
Nazir.
Posted: Sun Mar 19, 2006 10:04 am
by zmufti
merii aa.Nkh ke taare ab na dekh paaoge
raat ke musaafir the kho gaye ujaalo.n me.n
Posted: Mon Mar 20, 2006 2:36 am
by ummassad
nashemun per nashemun isterha tameer kerta ja
ke bijli girte girte aap khud bezar hojaye
pasandeedah
Posted: Mon Mar 20, 2006 3:28 am
by Abdullah Nazir
"be zauq-e-nazar bazm-e-tamaashaa nah rahegi
moNh perliyaa ham ne tou dunyaa nah rahegi."
Shaayer: Faani Badauni
Nazir.
Posted: Sat Mar 25, 2006 5:23 pm
by ummassad
khushi ne mujhko thukra diyahy gamoun ne mujhko paala hy
guloun ne berukhi ki hy tu kaantoun ne sambhala hy
pasandeedah
Posted: Mon Mar 27, 2006 1:30 am
by Abdullah Nazir
"guzargaah-e-jahaaN khaali nahiN rehti hei kacrat se
tamaasha-gaah hei dekho hazaarouN aate jaate heiN."
Shaayer: ameer meenayi
Nazir.
pasandeedah
Posted: Wed Mar 29, 2006 3:07 am
by Abdullah Nazir
"sawaal-e-bousah pe inkaar-e-jabr karnaa hei
kinaarah karte hou kyaa amr ikhtiyaari hei."
Shaayer: Aatish
Nazir.
Posted: Thu Mar 30, 2006 6:35 pm
by ummassad
sehra main mere haal pe roya nahi koi
gar phoot ke roya tu mere poun ka chala
pasandeedah
Posted: Fri Mar 31, 2006 2:26 am
by Abdullah Nazir
"nah sahi aap jafaa se jo nahiN baaz aate
jaayiye jaayhiye ab ham ko bhi iSraar nahiN."
Shaayer: Hasrat Mouhaani
Nazir.
pasandeedah
Posted: Tue Apr 11, 2006 3:42 pm
by Abdullah Nazir
"kisi ke aate hi saaqi ke aise housh uRe
sharaab seekh peh Daali kabaab sheeshe meiN."
Nazir.
Posted: Sat Apr 15, 2006 10:18 am
by zmufti
Posted: Sat Apr 15, 2006 10:37 am
by zmufti
tujh ko kitno ka laho chaahiye aye arz-e-watan
jo tirre aariz-e-be rang ko gulnaar kareN
kitni aahoN se kalaija tirra thanda hoga
kitne aansoo tirre sehraooN ko gulzaar kareN
Posted: Sat Apr 15, 2006 7:36 pm
by ummassad
mere saath chalne wale tujhey keya mila safar main
wahi dukh ki serzameen hay wahi gham ka aasman hay
Posted: Sat Apr 15, 2006 7:37 pm
by ummassad
mere saath chalne wale tujhey keya mila safar main
wahi dukh ki serzameen hay wahi gham ka aasman hay
Posted: Sun Apr 16, 2006 11:13 am
by Daanish
Ai abr-e-tar! tu aur kisi samt ko baras
is mulk meiN hamaari hai yeh chashm-e-tar hi bas--Meer