Page 12 of 29

???

Posted: Thu Apr 20, 2006 12:04 am
by Abdullah Nazir



kis bharouseh peh karuN apni wafaa kaa churchaa

koii ummeed hi baaqi hei nah armaaN SaaHib.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Thu Apr 20, 2006 7:14 pm
by zmufti
kyo.nkar us but se rakhuu.N jaan aziiz
kyaa nahii.n hai mujhe iimaan aziiz

???

Posted: Sat Apr 22, 2006 2:37 am
by Abdullah Nazir



Kaun hei dehr meiN Nazir saa shanaasaa teraa

kaun letaa hei tiri chashm-e-inaayat ke maze.


Shaayer: Abdullah Nazir


Nazir.


???

Posted: Sat Apr 22, 2006 11:27 pm
by Abdullah Nazir



kitnaa naadaan hooN kaisi hei yeh Hasrat meri

paabajolaaN rahuN aur paauN meiN zanjeer nah ho.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Mon Apr 24, 2006 8:11 pm
by zmufti
kyuu.N hame.n maut ke paiGaam diye jaate hai.n
ye sazaa kam hai ke jiye jaate hai.n

???

Posted: Tue Apr 25, 2006 11:54 am
by Abdullah Nazir



Un se kyaa tavaqquA ho, bakht aazmaayhi ki

jin peh aaye houN patthar, peR ko hilaane se.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


???

Posted: Sat Apr 29, 2006 5:26 am
by Abdullah Nazir



kyaa Ajab hei keh miri seest kaa paasaa palTe

jaan-e-jaanaaN tuu agar apnaa banaale mujhko.


Shaayer: Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Apr 29, 2006 7:29 pm
by zmufti
baavajuud un kii dil navaazi ke
dil gurezaaN hai, kya kiya jaaye?!

???

Posted: Sun Apr 30, 2006 4:43 am
by Abdullah Nazir



tasalluT hei yeh kaisaa zaalimaoN kaa

tamaasha ban gayaa hooN apne ghar meiN.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sun Apr 30, 2006 11:43 pm
by ummassad
kiya mila aakhir tujhey saayoun ke peechey bhaag ker
ay dil.e. nadan tujhe kiya hum ne samjhaya na tha

???

Posted: Mon May 01, 2006 1:40 am
by Abdullah Nazir



Mil jul ke raat kaaTnaa aur din guzaarnaa

kyaa khoob thaa wo daur magar kis ko yaad hei.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


???

Posted: Mon May 01, 2006 3:58 am
by Abdullah Nazir
[size-18]


tujhe apnaa kehkar bhi sharmindah hooN

rahaa kyaa bharam ikhtiyaaraat kaa.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.

[/size]

Posted: Mon May 01, 2006 9:51 pm
by ummassad
ab ke rut badli tuu khushbu ka safar dekheyga koun

zakhum phooloun ki tarha mahekainge per dekhey ga koun

???

Posted: Tue May 02, 2006 2:54 am
by Abdullah Nazir



biphar jaayenge hamper ahl-e-meHfil

milegaa aur kiyaa aah o fughaaN se.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


???

Posted: Tue May 02, 2006 3:18 pm
by Abdullah Nazir



MaiN koii qaTra-e-shabnam to nahiN thaa Nazir

phool kehtaa rahaa hounTaoB peh sajaalegaa mujhe.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.