Page 12 of 18

"noon"

Posted: Thu Jan 18, 2007 6:03 pm
by Abdullah Nazir



nuktah-cheeni per bhee unki saakit o Saamit rahe

is TaraH rakhnaa paRaa aadaab-e-meHfil kaa liHaaz.


Shaayer: Abdujllah Nazir.

"zoye"


Nazir.


Posted: Fri Jan 19, 2007 9:45 am
by balvinder
zameer martaa hai ahasaas kee khamoshee se
ye vo vafaat hai jiskee khabar nahee'n hotee


ab pataa nahee'n ki sher theek hai ya nahee'n

"ye"

Posted: Fri Jan 19, 2007 12:01 pm
by Abdullah Nazir



yeh bhee kyaa kam hei keh hooN Ahd-e-wafaa per qaayim

LuTgayaa hei tou balaa se sar o saamaaN apnaa.


Shaayer: Abdullah Nazir.

"alif" se


Nazir.


Posted: Sat Jan 20, 2007 6:33 am
by balvinder
apne aangan mein kab pooraa sooraj utraa
jhaank liyaa kartee hai koee kiran rozan se

"ye"

Posted: Sat Jan 20, 2007 8:45 am
by Abdullah Nazir



yaadaoN ke dareeche se jab dil meiN wo aataa hei
houtaa hei mukhaaTib aur yuN poochtaa jaataa hei
kyaa tum vohi shaayer hou kyaa tum vohi :Nazir: ho?
jo dasht o bayaabaaN ke mazloom musaafir hou
jou route rulaate thay aur ashk bahaate thay
jou hanste hansaate thay aur shour machaate thay
kyaa Haal tumhaaraa hei aayeenah zaraa dekho
jou bujhgayi rou rou kar wo shamA jalaa dekho
maiN souchtaa rehtaa hooN kis TarH se lab khoulooN
roodaad-e-gham-e-hasti boulooN ke nahiNH boulooN
Soorat nahiN koii bhee uljhan se rihaayi kee
SeHraa meiN sazaa kam hei kyaa aablah paayi kee.


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.


Posted: Mon Jan 22, 2007 2:58 pm
by balvinder
yah gahre zakhm hain inko lahoo dena hee parhtaa hai
nikhar jaaye yoon hee dil ki fizaa aisaa nahee'n hotaa

"alif"

Posted: Mon Jan 22, 2007 5:00 pm
by Abdullah Nazir



aatish-e-ishq bujhaane ko bahaaye aansoo

phir bhee dil kee kisi Soorat se iAanat nah houee.


Shaayer: Abdullah Nazir.

"ye" se


Nazir.


Posted: Tue Jan 23, 2007 10:07 am
by balvinder
yaad unkee hai bahut uzalat pasnd
aah bhee dil se nikaalee jaaye

Posted: Tue Jan 23, 2007 3:03 pm
by balvinder
ye hawaa aatee hai meraa tawaaf kerne ko
main ik diya hoon teree rahguzar mein rakkha hua

alif

Posted: Tue Jan 23, 2007 10:53 pm
by Abdullah Nazir



aap hee aap kiye jaate heiN baateN akcar

furqat-e-yaar meiN ab housh kahaaN hei yaaro.


(wawo)
Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Wed Jan 24, 2007 6:04 pm
by hassan_bashir
vahii sham-e-gham ka maNzar, vahii muNtazir nigaaheN
maiN azal se tak rahaa hooN, terii vaapasii kii raaaaheN

Posted: Thu Jan 25, 2007 9:49 am
by balvinder
nahee'n maalum kis haalat mein hoo'n baagh-e-aalam mein
qafas vaale bhee mujhko dekh kar fariyaad karte hain

Posted: Thu Jan 25, 2007 1:42 pm
by Naveed_Ahmad_Naveed
nay nay heiN azayem nayi nayi hai talash
jamal e dost se dil mutma'en kahaN hai abi.

Posted: Sat Jan 27, 2007 12:53 pm
by Naveed_Ahmad_Naveed
nasha-e-talkhi-e-ayaam,utrta hi nahiN
teri nazroN ne ghulabi to bohat chlkai.

Posted: Sat Jan 27, 2007 2:20 pm
by balvinder
yah kahke chaandanee mein kiyaa unko benaqaab
''chhuptaa nahee'n hai haq kabhee baatil ke saamne''