Page 12 of 65

Posted: Thu Apr 14, 2005 10:40 pm
by najma
qayaamat ka koee haamii naheeN hay
jise dekho, wo jannat chahta hay

jise/hay

Posted: Fri Apr 15, 2005 2:00 am
by Hashmat Usmani
jise aap ginte the aashnaa, jise aap kahte the be-vafaa
maiN vohii huuN "Momin"-e-Khasta_jaaN, tumheN yaad ho ki na yaad ho


Momin KhaN "Momin"

Posted: Fri Apr 15, 2005 2:03 am
by najma
maiN un haathoN ko bhi pehchanta hoN
ke jin haathoN pe dastaane chaRhay haiN

keh/haiN

Posted: Fri Apr 15, 2005 2:14 am
by Hashmat Usmani
haiN aur bhii dunyaa meN suKhan_war bahot achchhe!
kahte haiN ki "Ghaalib" kaa hai andaaz-e-bayaaN aur!


kahte / aur

Posted: Fri Apr 15, 2005 2:18 am
by najma
kehte haiN ham se, apna fasanah sunaiyye
aisay keh us meiN zikr hamara na kijiye

najma

aisay/lijiye

Posted: Fri Apr 15, 2005 2:32 am
by Hashmat Usmani
aise to koii jii ko banaataa nahiiN patthar
be-vajah to kabhii haath meN aataa nahiiN patthar


be-vajah / patthar

Posted: Fri Apr 15, 2005 2:34 am
by najma
be-wafa kehta hi hay to maiN jafaa bhi karlooN
wo sazaa de hi raha hay to khataa bhi kar looN
najma

wo/looN

Posted: Fri Apr 15, 2005 3:15 am
by Hashmat Usmani
VO jo ham meN, tum meN qaraar thaa; tumheN yaad ho ki na yaad ho
VOHII, ya'nii, va'da nibaah kaa; tumheN yaad ho ki na yaad HO


Momin KhaN "Momin"

VOHII / HO

Posted: Fri Apr 15, 2005 3:41 am
by Hashmat Usmani
YEH 'aalam shauq kaa dekhaa na jaaye
VO but hai yaa Khudaa, dekhaa na JAAYE


AHmad Faraaz

VO / JAAYE

Posted: Fri Apr 15, 2005 10:27 am
by najma
wo qatl tha keh naheeN, saaniha ajab hoga
koee zaroor miree maut ka sabab hoga

koee/ hoga

Posted: Sat Apr 16, 2005 12:12 am
by Hashmat Usmani
KOI veeraanii sii veeraanii hai
DASHT ko dekh kar ghar yaad AAYAA


DASHT / AAYAA

Posted: Sat Apr 16, 2005 12:22 am
by najma
dasht-e-junooN se kya koee wahshii guzar gaya?
har nok-e-khaar par yahaaN daaman ka taar hay
nafis ahmad siddiqui

her

Posted: Sun Apr 17, 2005 5:40 pm
by Abdullah Nazir



her waqt rah-e-shauq meiN houtaa hei taghayyur

geh SubH-e-muHabbat hei tou geh shaam-e-muHabbat.


[geh / muHabbat]


Nazir.


Posted: Sun Apr 17, 2005 6:27 pm
by najma
mohabbat ek jazba hay, mohabbat dil me hoti hay
mohabbat jisko kete haiN, wo ik anmol motii hay
rabia siddiqui :shamma,:

mohabbat/hay

Posted: Sun Apr 17, 2005 11:03 pm
by najma
terii hastii zaat meiN apnii, baRee khud,daar thii
apne mansab par hamesha mehv-e-karobaar thii
najma
apne/thii