Page 12 of 43
Posted: Fri May 13, 2005 12:30 am
by najma
qareeb-e-chahm hay har ek manzar
har ik chehra yahaaN, chehra-numa hay
najma
javaab
Posted: Fri May 13, 2005 12:51 am
by Abdullah Nazir
mulammaA kiyooN chaRhaaleti hei dunyaa apne chereh per
Haqeeqat aur houti hei, numaayish aur houtii hei.
Nazir.
Posted: Fri May 13, 2005 1:19 am
by najma
naee tehzeeb ke khush-fehm khudawandoN ne
ik naya hashr ba-har-gaam bapaa rak,kha hay
najma
javaab
Posted: Fri May 13, 2005 1:52 am
by Abdullah Nazir
rooH farsaa hei bahut shoAbada-e-ahl-e-jahaaN
Meri aankhaoN ko zaroorat nahiN beenaayii kii.
Nazir.
Posted: Fri May 13, 2005 5:15 pm
by najma
zindagii ka qarz to ik-din ada hojaeyga
rooh ka wa,da bhi kya is se wafa ho jaeyga?
najma
Posted: Sat May 14, 2005 12:56 am
by najma
sara_j wrote:kaun jaane kis Taraf le jaayegaa apnaa Amal
muTma'in heiN ham keh jou hounaa hei wo houjaayegaa.
A. Nazir
ham isii ummeed pe sehte rahay dunyaa ke Gham
aadamii ik-din mohabbat-aashna hojaeyga
najma
javaab
Posted: Sat May 14, 2005 2:56 am
by Abdullah Nazir
Dil liyaa jis ne usii ko hei taghaaful kaa gilah
gar yehi Haalat rahii tou jaane kyaa houjaayega.
Nazir.
Posted: Sat May 14, 2005 8:26 am
by najma
jur,at-e-naGhma na kar, sheeshah-garoN kesheh,r meiN
yaaN tira naGhma bhi pat,thar ki sadaa hojaeyga
najma
Posted: Sun May 15, 2005 5:09 am
by Hashmat Usmani
patthar ke jigar_vaalo! Gham meN vo ravaanii hai
Khud raah banaa legaa bahtaa huaa paanii hai
Basheer Badr
Posted: Sun May 15, 2005 10:50 am
by najma
maiN to daryaa hooN, baehtii chalii jaooNgii
rok saktay ho to rok lo shauq say
najma
javaab
Posted: Sun May 15, 2005 4:40 pm
by Abdullah Nazir
MaiN woh qulzum hooN ke detaa hooN sahaaraa sab ko
khauf kis baat kaa daryaa kii ravaani se mujhe.
Nazir.
Posted: Sun May 15, 2005 11:57 pm
by najma
hare bhare ye samandur dhuwaaN dhuwaaN hongay
kinaar-e-dasht meiN jab koee jaaN-ba-lab hoga
Posted: Mon May 16, 2005 1:31 am
by Hashmat Usmani
har tamaashaaii faqat saaHil se manzar dekhtaa
kaun dariyaa ko ulaTtaa, kaun gauhar dekhtaa
AHMad Faraaz
Posted: Mon May 16, 2005 3:08 am
by najma
ja-ba-jaa seepiyaaN saahil pe na bikhrii hoteeN
apne aape meiN jo be-taab samandar hote
najma
Posted: Mon May 16, 2005 4:43 am
by Hashmat Usmani
zindagii ke mele meN
KhowaahishoN ke rele meN
tum se kia kaheN jaanaaN
is qadar jhamele meN
waqt kii ravaanii hai
baKht kii giraanii hai
saKht be_zamiinii hai
saKht laa_makaanii hai
hijr ke samandar meN
taKht aur taKhte kii
ek hii kahaanii hai
tum ko jo sunaanii hai
Amjad Islam "Amjad"