Page 13 of 17
Posted: Tue Aug 15, 2006 2:06 am
by Daanish
be_reHm baaGhbaaN hai aur bewafaa bahaar
baandhha thha hum ne aake abaS aashiyaaN kahaN
--Taalib Ali Khan 'Aishi'
Posted: Tue Aug 15, 2006 2:08 am
by Daanish
ai sham'a teri umr-e-taba'aii hai ek raat
haNs kar guzaar ya usay ro kar guzaar de--Zauq
sabaq amouz
Posted: Tue Aug 15, 2006 12:28 pm
by Abdullah Nazir
"dil akcar shukriyah-sanj-e-jafaay-e-yaar houtaa hei
muHabbat karne waalaoN kaa yehi kirdaar houtaa hei".
Shaayer: Seemaab Akbaraabaadi
Nazir.
sabaq amouz
Posted: Tue Aug 15, 2006 12:48 pm
by Abdullah Nazir
"leliyaa note magar leke vaheeN phaaRdiyaa
apni khuddari o ghairat kaa Alam gaaRdiyaa".
Shaayer: Aamir Deobandi
Nazir.
Posted: Wed Aug 16, 2006 11:11 am
by Daanish
'sabaq_amoz'
gul aate haiN hasti meiN adam se hamatan gosh
bulbul ka yeh naala nahin afsaana hai uska--Aatish
sabaq-aamouz
Posted: Fri Aug 18, 2006 1:09 pm
by Abdullah Nazir
"tire houte beshak yeh hei kufr-e-niAmat
jo rakhkheN kisi aur kaa aasraa ham".
Shaayer: Maulaanaa Hasrat mouhaani
Nazir.
Posted: Fri Aug 18, 2006 1:51 pm
by Daanish
bandagi meiN bhi woh aazaadah-o-Khud_biiN haiN, ke hum
ulTay phir aaye dar-e-ka'aba agar waa na hu'a--Ghalib
sabaq-aamouz
Posted: Mon Aug 21, 2006 6:19 pm
by Abdullah Nazir
tuu ne yaa ghaZab kiyaa, mujhko bhee faash kardiyaa
maiN hee tou aek raaz thaa, seena-e-kaayinaat meiN.
Shaayer: Iqbaal
Nazir.
Posted: Tue Aug 22, 2006 3:51 am
by Daanish
sabaq_amoz
sab kahaN kuchh laala-o-gul meiN numaayaaN ho gayiiN
Khaak meiN kya soorateiN hongi, ke pinhaaN ho gayiiN--Ghalib
sabaq-aamouz
Posted: Tue Aug 22, 2006 5:36 am
by Abdullah Nazir
"bharousah kar nahiN sakte ghulaamaoN kee baSeerat per
keh dunyaa meiN faqaT mardaan-e-Hur kee aankh hei beenaa".
Shaayer: Iqbal
Nazir.
Posted: Thu Aug 24, 2006 3:36 am
by Daanish
sabaq amoz
duniya meiN Haal-e-aamad-o-raft-e-bashar na poochh
beiKhtiyaar aa ke raha, beKhabar gaya--'Faani' Badaayuni
Posted: Thu Aug 24, 2006 3:42 pm
by PK Swami
maiN jo apne aap mein zindaa raHaa
iss liye taa.umr sharmindaa raHaa !! - Ghaayal Azemabadee
PK Swami
Posted: Sat Aug 26, 2006 3:45 am
by Daanish
'sabaq amoz'
hum muwaHHid haiN, hamaara kesh hai tark-e-rusoom
millateiN jab miT gayiiN, ajza-e-iimaaN ho gayiiN--Ghalib
sabaq amouz
Posted: Sat Aug 26, 2006 4:08 am
by Abdullah Nazir
"taAmeer-e-aashiyaaN se maiN ne yeh raaz paayaa
ahl-e-nawaa ke Haq meiN bijli hei aashiyaanah".
Shaayer: Iqbaal
Nazir.
Posted: Sat Aug 26, 2006 6:28 pm
by PK Swami
zer gardooN gila.e daur.e zabardastee hai
nashsha.e zar pe jo marte haiN, vo badmastee hai
saahib.e zar kee zaraafat pe qanaa haNstee hai
muflisee apnee kasauTee pe usse kastee hai
jo qana.at ke haiN zardaar tavaNgar vo haiN
maal ke haiN jo talabgaar, gadaagar vo haiN !!
PK Swami