Page 13 of 44

pasandeedah

Posted: Mon Apr 17, 2006 1:46 am
by Abdullah Nazir



"le saans bhi aahistah ke naazuk hei bahut kaam

aafaaq ki is kaargah-e-sheeshah-gari kaa."


Shayer: Meer.


Nazir.


Posted: Mon Apr 17, 2006 3:05 am
by Daanish
shaayad aave haal pursi karne, is ummeed par
kab se haiN daar-ul-shifa meiN, us ke biimaaroN meiN hum--Meer

pasandeedah

Posted: Mon Apr 17, 2006 10:34 pm
by Abdullah Nazir



"aek ke bhi wo bure Haal meiN aayaa nah kabhoo

loag achche thay bahut yaar ke beemaaraoN meiN."


Shaayer: Meer.


Nazir.


Posted: Thu Apr 20, 2006 6:54 pm
by zmufti
aa.Nkho.n se juu-e-Khuu.N hai ravaa.N dil hai daaG daaG
dekhe ko_ii bahaar-e-gulistaan-e-aarazuu

Posted: Thu Apr 20, 2006 6:57 pm
by zmufti
havaa ke dosh pe rakkhe hue charaaG hai.n ham
jo bujh gaye to havaa se shikaayate.n kaisii

pasandeedah

Posted: Sat Apr 22, 2006 2:18 am
by Abdullah Nazir



aseeran-e-qafas gham bhool jaate heiN rihaa houkar

magar Sayyaad ke dil se pashemaani nahiN jaati.


Shaayer: Akbar Hyderabadi.


Nazir.


Posted: Mon Apr 24, 2006 8:16 pm
by zmufti
kyaa jaane kis ko kis se hai ab daad kii talab
vo Gam jo mere dil me.n hai terii nazar me.n hai

pasandeedah

Posted: Tue Apr 25, 2006 11:47 am
by Abdullah Nazir



"Paate thay chain kab gham-e-doori se ghar meiN ham

raaHat waTan ki yaad kareN kyaa safar meiN ham."


Shaayer: Mumin.


Nazir.


Posted: Thu Apr 27, 2006 7:26 pm
by zmufti
sar-e-mahafil bataa duuNgaa sar-e-mahashar dikha duuNgaa
hamaare saath tum hoge ye duniyaa dekhatii hogii

Posted: Fri Apr 28, 2006 1:50 am
by ummassad
kati hey gham ki raat bade aahteram se
akser bujha liya hey chiragoun ko sham se

pasandeedah

Posted: Sat Apr 29, 2006 5:18 am
by Abdullah Nazir



"agar jalaate nah us shoAllah roo ke ishq meiN jee

to souz-e-aatish-egham se jalaa nah karte ham."


Shaayer: Mumin.


Nazir.


Posted: Sat Apr 29, 2006 7:20 pm
by zmufti
maiN bhii palakoN pe sajaa luuNgaa lahuu kii buuNdeN
tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa

pasandeedah

Posted: Mon May 01, 2006 4:13 am
by Abdullah Nazir
[size-18]


dil faqr ki daulat se miraa aisaa ghani hei

dunyaa ke zar o maal peh maiN tuf nahiN kartaa.


Shaayer: Zauq.


Nazir.

[/size]

Posted: Mon May 01, 2006 9:32 pm
by ummassad
kiya laiq.e.setum bhi nahi ab main doosto
pather bhi gher main aaiye zamana juzar gaiya

Posted: Tue May 02, 2006 3:32 am
by Abdullah Nazir



"kis TaraH kouhkan peh guzrengi

hijr kii yeh pahaaR si raateN."


Shaayer: sajjaad.


Nazir.