Page 13 of 18

Posted: Sat Feb 03, 2007 7:42 am
by balvinder
ye teraa tarz-e-taghaaful hai koee jaan-e-karam
yaa main samjhoo'n ki meree hauslaa-afzaaee hai

Posted: Thu Feb 08, 2007 9:49 am
by balvinder
maaraa hai kis adaa se dil-e-sogvaar ko
kushtaa hoo'n teree pursish-e-begaanaavaar kaa

''firaq'' gorakhpuri

Posted: Sat Feb 10, 2007 7:24 am
by balvinder
nishaan yehee hai zamaane mein zindaah qaumo'n ka
kah subaha shaam badltee hain un kee taqdeerein

Posted: Thu Feb 15, 2007 6:50 pm
by balvinder
ye sochane kee bhee mohlat nahee'n milee hamko
khayaal-o-khwaab kee deevaar se udhar kyaa thaa

Posted: Mon Mar 12, 2007 10:47 am
by balvinder
yeh hadaiN na torH denaa mere daairey meN rahana
mujhay apne dil meN rakhana mere haafize meN rahana

Posted: Wed Apr 04, 2007 4:28 pm
by hassan_bashir
vaqt k saaaaaaath hai miTTi ka safar sadiyoN se
kis ko ma'alum kahaaN k haiN kidhar k ham haiN

Posted: Sun Apr 08, 2007 4:43 am
by JadooMaster
aadamii aadamii se milataa hai
dil magar kam kisii se milataa hai

Posted: Fri Apr 13, 2007 9:51 am
by balvinder
aatii nahiiN sadaa bhii aah-e-haziiN ki ab to
ghaafil Khabar le apne biimaar-e-naatvaaN ki

Posted: Sun Apr 15, 2007 8:08 pm
by ummassad
ye masail e tasawof ye tera baiyan galib
tujhey hum wali samajhtey jo na badakhar hota .

Posted: Mon Apr 16, 2007 3:24 pm
by balvinder
abhii to bijliyoN ka hai, asar mere nasheman tak
Khuda na-kardaa gulshan par bhii aaNch aaii to kya hoga

Posted: Tue Apr 17, 2007 5:21 pm
by ummassad
ay chasham.e. ter na ashak bahaa unke saamney
moti mila ke khak main be aabro na ho

Posted: Thu Apr 19, 2007 1:32 pm
by ummassad
nahin begangi acchi rafeeq.e.rah.e. manzil se.
taaheer ja aay sharer hum bhi tu aakhir mitney waley hain.

Posted: Wed Apr 25, 2007 1:22 pm
by Naveed_Ahmad_Naveed
yai ahl-e-dard bi kis ki duhai dete hein
wo chup bo ho to zamana hai hamnawa us ka

Posted: Sat Apr 28, 2007 5:59 am
by Naveed_Ahmad_Naveed
yai kya ke sub se biyaaN dil ki halteiN karni
Faraz tuj ko na ayeiN muhabbteiN karni.....

Posted: Sat Apr 28, 2007 10:54 pm
by ummassad
ye kis surab ki duniya main aagaiya houn shakeel
yahan tu her koi piyasa nazar aata hey