Page 13 of 65
Posted: Mon Apr 18, 2005 12:46 am
by Hashmat Usmani
THII nau_aamoz fanaa himmat-e-dushwaar pasand
SAKHT mushkil hai ki yeh kaam bhii aasaaN NIKLAA
SAKHT / NIKLAA
sakht
Posted: Mon Apr 18, 2005 11:32 am
by Abdullah Nazir
sakht mushkil hii sahi rah-e-wafaa jaan-e-jahaaN
mujhko aataa nahiN manzil se gurezaaN hounaa.
(mujhko / hounaa)
Nazir.
Posted: Mon Apr 18, 2005 2:46 pm
by najma
mujh ko junooN naheeN, keh maiN jaagooN tamaam raat
lekin tira khayaal sataey to kya karooN
lekin/karooN
Posted: Tue Apr 19, 2005 1:48 am
by najma
use hayaat ka idraak ho naheeN sakta
nazar ke saamne ji ki, ajal ki raah naheeN
nafis ahmad siddiqui
nazar/naheeN
"nahiN"
Posted: Wed Apr 20, 2005 5:22 am
by Abdullah Nazir
nahiN firaaq meiN zaalim sukooN zaraa saa bhii
yeh aarzoo hei ke soujaaooN tere zaanoo per.
(yeh / per)
Nazir.
Posted: Wed Apr 20, 2005 9:15 pm
by najma
ye kis ka khoon hay daaman pe yaaroo!
lahuu se kis ke, rangeeN aasteeN hay
alhuu/hay
Posted: Thu Apr 21, 2005 12:14 am
by Hashmat Usmani
lahuu na ho to kalaam tarjumaaN nahiiN hotaa
hamaare daur meN aaNsuu zubaaN nahiiN hotaa
Waseem Barelvii
hamaare / hotaa
Posted: Thu Apr 21, 2005 5:30 am
by Hashmat Usmani
agar ham kaheN aur vo muskuraa deN
ham unke liye zindagaanii luTaa deN
Sudarshan "Faakir"
ham / deN
"ham"
Posted: Thu Apr 21, 2005 1:17 pm
by Abdullah Nazir
ham unki muHabbat ko kaise bhulaadeN
wo gar hukm deN, apni dunyaa luTaadeN.
( wo / luTaadeN )
Nazir.
Posted: Fri Apr 22, 2005 2:05 am
by Hashmat Usmani
poochh mat rusvaaii-e-andaaz-e-isteGhnaa-e-Husn
dast-e-marhoon-e-Hinaa, ruKhsaar_o_dehn-e-Ghaaza thaa
dast / thaa
"dast"
Posted: Fri Apr 22, 2005 3:31 am
by Abdullah Nazir
dast maayoos-e-karam, joush-e-tamanna qaayim
raah-e-ulfat meiN kahaaN haar houii hei merii.
raah /meri
Nazir.
[/color
Posted: Fri Apr 22, 2005 4:27 am
by Hashmat Usmani
raah-e-'aashiqii ke maare raah-e-aam tak na pahoNche
kabhii subHa tak na pahoNche, kabhii shaam tak na pahoNche
YaHya Jasdanwala
kabhii / pahoNche
Posted: Fri Apr 22, 2005 12:48 pm
by Hashmat Usmani
aao ki koii Khowaab buneN kal ke vaaste
varnaa ye raat aaj ke sangiin daur kii
Das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil
taa-'umr phir na koii hasiiN Khowaab bun sakeN
SaaHir Ludhianvii
taa / sakeN
Posted: Fri Apr 22, 2005 11:10 pm
by najma
taa-umr tiree shak,l rahay saamne mere
aaa , aur na kabhii laut k jane ke liye aaa
najma
phir se =====
aaa/aaa
Posted: Fri Apr 22, 2005 11:16 pm
by najma
tum hi mere mandi, tum hi merii pooja
tumhi devta ho -tumhii devta ho
-----------wao--------