Page 13 of 43
Posted: Mon May 16, 2005 9:26 am
by najma
ham ne to chaahaa tha, un se mud,da,aa kardeN bayaaN
lafz kuch aey zabaaN par, aur aa kar reh gaey
najma
Posted: Mon May 16, 2005 1:30 pm
by najma
sab kuch khuda se maang liya tujhko maang kar
uThte naheeN haiN haath mire, is dua k ba,d
Javaab
Posted: Mon May 16, 2005 7:34 pm
by Abdullah Nazir
dastoor-e-rasm-e-daadrasii hei wafaa ke saath
laazim hei chaarah-saaziy-e-dil bhii duAaa ke saath.
Nazir.
Posted: Mon May 16, 2005 7:49 pm
by najma
ho na jab apna koee bhi chara-gar
seena-e-sad-chaak kya hoga arfuu
nafis ahmad siddiqui
Javaab
Posted: Mon May 16, 2005 8:50 pm
by Abdullah Nazir
naakhun-e-uqdah kushaa dast-e-tah-e-sang meiN hei
maiN kahaaN aur tiri zulf-e-girahgeer kahaaN.
:Nazir:
Posted: Mon May 16, 2005 9:21 pm
by najma
zulf-e-barham ki baat karte ho
pech aur kham ki baat karte ho
nafis ahmad siddiqui
javaab
Posted: Tue May 17, 2005 10:44 am
by Abdullah Nazir
sirf andaazah thaa, ma'Aloom nahiN thaa mujhko
itne purpech tire gaisooay-e-peichaaN houNge.
:Nazir:
Posted: Tue May 17, 2005 10:52 am
by najma
tum jise rah-numa banaogay
wo hamara hi naqsh-e-paa hoga
najma
javaab
Posted: Tue May 17, 2005 12:15 pm
by Abdullah Nazir
uff re yeh Aaqrab-e-abroo kii tire, neish-zanii
cheekh uThTe nah taRaptaa houaa insaaN kab tak.
:Nazir:
Posted: Tue May 17, 2005 8:19 pm
by najma
koee qatil unheN naheeN kehta
wo, jo nazroN se waar karte haiN
najma
Posted: Wed May 18, 2005 4:17 am
by Hashmat Usmani
suuraj kii har kiraN terii suurat pe vaar duuN
dozaKh ko chaahtaa huuN ki jannat pe vaar duuN
Abdul Hameed Adam
Posted: Wed May 18, 2005 12:40 pm
by najma
chaand, sooraj, na deiN hameiN ta,naa
ham bhi ik aasmaan rakhte haiN
najma
javaab
Posted: Wed May 18, 2005 3:28 pm
by Abdullah Nazir
Wo sitamgar hei, kahe jou bhii use kehnaa hou
pahle alfaaz ko meezaan meiN toule tou sahii.
:Nazir:
Posted: Wed May 18, 2005 3:48 pm
by najma
iltijaeiN to bohat keeN sitam-eejaadoN se
koee matlab naheeN nikla miree faryaadoN se
najma
javaab
Posted: Thu May 19, 2005 1:04 am
by Abdullah Nazir
khauf-e-rusvaayii hei maiN tujh ko buraa kaise kahooN
ghar se baahar bhii chalii jaatii heiN ghar kii baateN.
Nazir.