Page 14 of 17
Posted: Sun Aug 27, 2006 2:32 am
by Daanish
'sabaq amoz'
majaaz aur, Haqeeqat kuchh aur, hai ya'ni
tiri nigaah se tera bayaaN nahiN miltaa
--Faani Badaayuni
Posted: Tue Aug 29, 2006 5:42 pm
by PK Swami
fursat mile to poochh le umr.e rawaaN se ham
janaa kahaaN hai,aaye haiN aakhir kahaaN se ham !
PK Swami
sabaq-aamouz
Posted: Wed Aug 30, 2006 12:42 am
by Abdullah Nazir
"be-khaTar kood paRaa aatish-e-namrood meiN ishq
aql hei meHv-e-tamaashaay-e-lab-e-baam abhi".
Shaayer: Iqbal
Nazir.
Posted: Thu Sep 07, 2006 3:08 am
by Daanish
adam se jaanib-e-hasti talaash-e-yaar meiN aaye
talaash-e-gul meiN, hum kis vaadi-e-pur_Khaar meiN aaye
--Aatish
Posted: Sat Sep 09, 2006 2:07 am
by Daanish
sham'a ki taraH jiyeN bazmgah-e-a'alam meiN
Khud jaleN deedah-e-aGhyaar ko beena kar deN
--Iqbal
Posted: Sat Sep 09, 2006 5:22 am
by Daanish
'sabaq_amoz'
hum hu'e, tum hu'e, ke Meer hu'e
unki zulfoN ke sab aseer hu'e
--Meer
Posted: Sat Sep 09, 2006 5:27 am
by Daanish
Khauf sab jaata raha dil se azaab-e-hijr ka
naqd-e-jaaN dena, gunaah-e-ishq ka kaffaarah tha
--NaasiKh
Posted: Sat Sep 09, 2006 5:13 pm
by PK Swami
tujh pe ayaaN hai raaz.e dil, jaan ke bekhabhar na ban
maanee.e khamoshee samajh,soorat.e khamoshee na dekh!! - Anand Narain Mulla
PK Swami
Posted: Tue Sep 12, 2006 2:40 am
by Daanish
zameen-e-chaman gul khilaati hai kya kya
badaltaa hai rang aasmaaN kaise kaise
--Aatish
Posted: Fri Sep 15, 2006 2:54 am
by Daanish
sabaq amoz
mohaal thha koi hotaa yahaaN siwa tere
yeh kul jahaan hai, minnat_pazeer-e-kam nazari
--AsGhar
Posted: Sat Sep 16, 2006 2:24 am
by Daanish
'sabaq amoz'
ik qatrah-e-shabnam par Khursheed hai aks_aara
yeh neesti-o-hasti, afsaana hi afsaana
--Asghar
sabaq-aamouz
Posted: Sat Sep 16, 2006 5:47 am
by Abdullah Nazir
"BeHr o bar meiN nahiN kis ko havas-e-qaTA o bureed
naakhun-e-sher hei khanjar dum-e-maahi miqraaZ".
Shaayer: zauq.
Nazir.
Posted: Wed Sep 27, 2006 2:50 pm
by ummassad
taheh main jo rehgaiye wo saduf nikaliye
tugyanioun ka haath samunder main daaliye
Posted: Sat Sep 30, 2006 2:42 am
by Daanish
faraaGhat se duniya meiN dam_bhar na baiThho
agar chaahte ho faraaGhat zyaadah
museebat ka ek ik se ahwaal kehnaa
museebat se hai yeh museebat zyaadah
--Haali
"hey"
Posted: Sat Oct 07, 2006 4:10 pm
by Abdullah Nazir
"her musaafir se pooch letaa hooN
khaanah barbaad hooN ke khaanah-badoush"
Shaayer: Faani Badaunin
Nazir.