Page 14 of 44
pasandeedah
Posted: Wed May 03, 2006 1:17 pm
by Abdullah Nazir
gharaZ apni si wo to kar guzraa
hougayi raat aur moNh nah khulaa.
Shaayer: Sauda.
Nazir.
Posted: Wed May 03, 2006 6:48 pm
by zmufti
ishq kii chaaNdanii raateN mujhe yaad aatii haiN
umr-e-raftaa ko merii mujh se milaa de aakar
Posted: Thu May 04, 2006 3:28 pm
by zmufti
shaam ke saa.Nvale chehare ko nikhaaraa jaaye
kyo.n na saagar se ko_ii chaa.Nd ubhaaraa jaaye
Pasandeedah
Posted: Thu May 04, 2006 5:12 pm
by Abdullah Nazir
"raat waan gul ki TaraH se jise khandaaN dekhaa
SubH, bulbul ki ravish, humdam-e-afghaaN dekhaa."
Shaayer: Sheftah
Nazir.
Posted: Thu May 04, 2006 6:58 pm
by hira_pari
Salam
arz kiya hai
kabhi yuN bhi aa meri aaNkh maiN k meri nazar ko khabar na ho...
mujhay aik raat nawaaz de phir uske baad sahar na ho..
mere baazuoN maiN thaki thaki abhi mahav e khawab hai chandnii ..
naa uThay sitaaroN ki palki jahaN aahaToN ka guzar na ho....
wo baRaa Raheem o Kareem hai mujhay ye sift bhi ata kere....
tujhay bhoolne ki dua keruN to meri dua maiN asar naa ho
Posted: Fri May 05, 2006 5:54 pm
by hira_pari
Palat ker aaNkh num kerna mujhay hergiz nahiN aata
Gaye lamHoN ka ghuM kerna mujhay hergiz nahiN ata
mohubbat ho to bayhad ho nafrat ho to baypaayaN
koi bhi kaam kum kerna mujhay hergiz nahiN ata
pasandeedah
Posted: Sat May 06, 2006 5:28 am
by Abdullah Nazir
"ishq-e-mai yeh hei ke dam meraa khafaa houtaa hei
ghounTta hei koii jab mast, galaa meenaa kaa."
Shaayer: Naasikh
Nazir.
Posted: Sat May 06, 2006 7:47 pm
by ummassad
theen kamanain tuu haathon aagyaar key
teer magar apnoun ki janib see aatey rahy hain
pasandeedah
Posted: Sun May 07, 2006 9:54 am
by Abdullah Nazir
"giryah chaahe hei kharaabi mire kaashaane ki
dar o deewaar se tapke hei bayaabaaN hounaa."
Shaayer: Ghalib.
Nazir.
Posted: Sun May 07, 2006 11:59 am
by syed bilal armaan
badala wafa ka dee gay bardhi sadagi say hum
tum hum say rooth jao gay , aur zindgai say hum
pasandeedah
Posted: Sun May 07, 2006 6:51 pm
by Abdullah Nazir
"MuHabbat meiN ik aisaa waqt bhi aataa hei insaaN per
sitaaraoN ki chamak se chouT lagti hei rag-e-jaaN per."
Shaayer: Seemaab Akbaraabaadi
Nazir.
pasandeedah
Posted: Wed May 10, 2006 4:35 am
by Abdullah Nazir
"Ham aaj tak chupaate heiN apnoN se raaz-e-ishq
Haalaankeh dushmano se yeh qiSSah nihaaN nahiN"
Shaayer: Sheftah.
Nazir.
Posted: Wed May 10, 2006 10:39 pm
by ummassad
ab na mangingey zindagi yarab
yeh gunah humne aek baar kiya
pasandeedah
Posted: Thu May 11, 2006 7:20 pm
by Abdullah Nazir
"yaaN se kyaa dunyhaa se uTh jaaujN agar kehte heiN aap
rujk gayaa meraa bhi dam kiyuN isqadar rukte heiN aap".
Shaayer: Mumin.
Nazir.
pasandeedah
Posted: Sat May 13, 2006 7:09 pm
by Abdullah Nazir
"aaya na aitadaal par haragiz mazaaj-e-dahar
mai.n garche garm-o-sard-e-zamaanaa samo gaya"
Shaayer: Khwaajah Meer Dard
Nazir.