Page 14 of 65

Posted: Sat Apr 23, 2005 2:31 am
by Hashmat Usmani
najma wrote:tum hi mere mandi, tum hi merii pooja
tumhi devta ho -tumhii devta ho
-----------wao--------
:o gaanaa? ok! chalegaa! :wink:

lafz e "VAAO" nahiiN moHtaramah...alfaaz haiN:

tumhiiN / ho


HO paayii nahiiN zikr kii jurrat abhii naa_yaab
PHIR seena_kushaa tai'Gh, jigar_daar-e-Ghazal HAI


Hashmat Usmani

PHIR / HAI

Posted: Sat Apr 23, 2005 7:47 pm
by najma
raat kaantoN pe basar ho to ghazal hotii hay
shab-e-hijraaN ki sahar ho to ghazal hotii hay
najma
shab/hay

Posted: Sun Apr 24, 2005 1:12 am
by Hashmat Usmani
shab-e-Gham, ai mere Allaah! basar bhii hogii
raat hii raat rahegii k saHar bhii hogii


Seemaab Akbarabadi

Posted: Sun Apr 24, 2005 3:51 am
by Hashmat Usmani
hai bas_ki har ik unke ishaare meN nishaaN aur
karte haiN moHabbat to guzartaa hai gumaaN aur


Ghaalib

karte / aur

Posted: Sun Apr 24, 2005 11:31 am
by najma
karte rahay jo chaand sitaroN ki guftguu
wo aashnaa-e-azmat-e-insaaN na hosake
najma
wo/ho sake

Posted: Sun Apr 24, 2005 1:09 pm
by najma
fikr karte hi naheeN ehl-e-jahaaN jab fan ki
shikwa fan-kaar ka phirdost! bajaa hota hay
qaari ''azhar''

Posted: Sun Apr 24, 2005 1:10 pm
by najma
fikr karte hi naheeN ehl-e-jahaaN jab fan ki
shikwa fan-kaar ka phirdost! bajaa hota hay
qaari ''azhar''

shikwa/hay

Posted: Sun Apr 24, 2005 10:28 pm
by Hashmat Usmani
shikwa_sanj-e-rashk-e-ham digar na rahnaa chaahiye
meraa zaanuu moonis, aur aaiinaa teraa aashnaa


Ghaalib

meraa / aashnaa

Posted: Sun Apr 24, 2005 11:27 pm
by najma
aashnaa, jese aashna ke liye
yuuN lapaktee hay zeest, suu-e-ajal
najma
yuuN/ ajal

Posted: Mon Apr 25, 2005 1:17 am
by Hashmat Usmani
yuuN mukuraaye jaan sii kaliyoN meN paR gaii
yuuN lab_kushaa huye k gulistaaN banaa diyaa


AsGhar GoNDvii

yuuN / diyaa

Posted: Mon Apr 25, 2005 2:14 am
by najma
yuuN to keh lene ko keh lete haiN ham bhi NAJMA
jab koee khud meiN hunar ho, to ghazal hotii hay
najma

jab/hay

Posted: Mon Apr 25, 2005 3:41 am
by Hashmat Usmani
AUUUR baazaar se le aaye agar TooT gayaa
jaam-e-jam se miraa jaam-e-sifaal achchha hai


Mirza Ghaalib

JAAM / HAI

Posted: Mon Apr 25, 2005 3:52 am
by Hashmat Usmani
AB aksar chup_chup se rahe haiN, yuuN hii kabhuu lab khole haiN
pahle "Firaaq" ko dekhaa hotaa! ab to bahut kam bole haiN!!


Firaaq Gorakhpuri

pahle / haiN

Posted: Mon Apr 25, 2005 1:00 pm
by najma
haiN wohii log jahaaNmeiN ach,chay
aate haiN jo kaam doosroN ke

aate/ke

Posted: Tue Apr 26, 2005 1:44 am
by Hashmat Usmani
ate aate aa hii jaatii hai moHabbat meN fahem
jisko tum kahte ho milnaa, ham use kahveN qazaa


Bi Naseeban :wink:

JISKO / QAZAA