Page 14 of 43
Posted: Thu May 19, 2005 1:18 am
by najma
ashkoN ne dil ki baat zamane meiN aam kii
afsos, ghar ki baat kahaaN tak chalii gaee
nafis ahmad siddiqui
javaab
Posted: Thu May 19, 2005 4:44 am
by Abdullah Nazir
zindagii kii dhoop meiN khwaabaoN ke gul murjhaagaye
aur kyaa Haasil houaa hei gardish-e-ayyaam se.
Nazir.
Posted: Thu May 19, 2005 4:54 am
by Hashmat Usmani
hazaar gardish-e-shaam_o_saHar se guzre haiN
vo qaafile jo terii rahguzar se guzre haiN
Sufi Ghulam Mustafa "Tabassum"
Posted: Thu May 19, 2005 12:45 pm
by najma
wo qaafle, jo sar-e-raah luT gaey din meiN
ab unki shaam na-jaane kahaaN guzartii hay
najma
Javaab
Posted: Thu May 19, 2005 10:09 pm
by Abdullah Nazir
NahiN hei silsila-e-naamah o payaam un se
idhar udhar se khabar aatii jaatii rehtii hei.
:Nazir:
Posted: Thu May 19, 2005 10:45 pm
by najma
ham un se rasm-e-mohabbat baRhaa naheeN sakte
ye ek baar-e-giraaN hay, uThaa naheeN sakte
najma
Posted: Thu May 19, 2005 11:15 pm
by Hashmat Usmani
ab to uTh saktaa nahiiN aaNkhoN se baar-e-intezaar
kis_taraH kaaTe koii lai'l_o_nahaar-e-intezaar
Hasrat Mohaanii
Posted: Thu May 19, 2005 11:17 pm
by najma
muntazir haiN ye dar, aur ye baam
kya huee tre wa,de ki shaam
najma
Posted: Fri May 20, 2005 12:45 am
by Hashmat Usmani
shaam-e-Gham kuchh us nigaah-e-naaz kii baateN karo
be_Khudii baRhtii chalii hai, raaz kii baateN karo
Firaaq Gorakhpuri
Posted: Fri May 20, 2005 12:48 am
by najma
choR kar naaz-o-ada, talwaar ki bateN kareN
johd kii, jur,at ki or eecaar ki baateN kareN
najma
Posted: Fri May 20, 2005 1:05 am
by Hashmat Usmani
nigaah-e-naaz kii kaifiiyateN haiN dil meN vohii
k rooH tan meN ho, sheesha meN jis_taraH ho parii
AsGhar GoNDvii
Posted: Fri May 20, 2005 2:11 am
by najma
kar gaee kaam pehlii fursat meiN
haey wo ik nazar, mohabbat-paash
najma
Posted: Fri May 20, 2005 4:34 am
by Hashmat Usmani
Takraa hii gaii merii nazar un kii nazar se
dhonaa hii paRaa haath mujhe qalb_o_jigar se
Faiyaaz Haashmii
Posted: Fri May 20, 2005 12:52 pm
by najma
aankh se mujh ko tasawwur ki, ye aata hay nazar
waqt ik raftaar se kis tarha jata hay suga
najma
javaab
Posted: Fri May 20, 2005 2:53 pm
by Abdullah Nazir
YooN nah aankhaoN ke ishaare se bulaaou mujhko
Tum hii manzil hou miri, aur kahaaN jaaoongaa,
Nazir.