Page 15 of 17
Posted: Thu Nov 30, 2006 12:13 pm
by Zahid Jahangir
so jaate hain footpath pe akhbaar bichha ke
mazdoor kabhi neend ki goli nehin khaate
Posted: Thu Nov 30, 2006 7:02 pm
by hassan_bashir
haaN-haaN, rah-e-madina hai Ghaafil zaraa to jaag
o paaoN rakhne vaale yeh jaa chasm-o-tar ki hai
~ Aala Hazrat ~
sabaq0aamouz
Posted: Fri Dec 01, 2006 12:28 pm
by Abdullah Nazir
"lo wo bhee kehte heiN keh yeh be nang o naam hei
yeh jaantaa agar tou luTataa nah ghar ko maiN".
Shaayer: Mirza Ghalib.
Nazir.
Posted: Mon Dec 04, 2006 7:35 am
by hassan_bashir
koee dekhe to zaraa unkee duhaaaaaYee de kar
ishq saadiq ho to, patthar bhee bighal jaate haiN
Posted: Thu Dec 07, 2006 3:39 am
by Hashmat Usmani
is saraab-e-rang_o_buu ko gulsitaaN samjhaa hai tuu
aah ai naadaaN! qafas ko aashiyaaN samjhaa hai tuu
'allaamah Iqbaal [r.a.]
Posted: Thu Dec 07, 2006 6:53 am
by hassan_bashir
maaNgeNge, maaNge jaayeN ge, muNh maaNgi paayeN ge
sarkaar meiN na LAA hai na haaaaaaaaaajat AGAR ki hai
~ Aala Hazrat :rahma ~
sabaq-aamouz
Posted: Thu Dec 07, 2006 12:45 pm
by Abdullah Nazir
"dar paye ishq rahee khaaTir-e-dushwaar pasand
nah suni ham ne kisi khwaahish-e-aasaaN ki SalaaH".
Shaayer: Maulana Hasrat Mohaani
Nazir.
sabaq-aamouz
Posted: Sat Dec 09, 2006 3:15 am
by Abdullah Nazir
"taAajjub kyaa agar nekee ke badle hou badee HaaSil
niraale heiN yahaaN ke qaaAide ai dil yeh dunyaa hei".
Shaayer: Hasrat Mohaani
Nazir.
sabaq-aamouz
Posted: Mon Dec 11, 2006 3:40 pm
by Abdullah Nazir
b]
"us ne ham se suni nah shauq kee baat
hans ke poochaa yeh kis zabaan meiN hei".
Shaayer: Hasrat Mohaani
Nazir.
[/b]
Posted: Tue Dec 12, 2006 12:19 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]apnee tareekh-e-muHabbat ka hooN maiN deebachah
Ghaor se dekh~ mire Haal-e-pareeshaaN kee t^araf!
(moHtaram Abdullah Naz^ir SaHib)[/align]
sabaq-aamouz
Posted: Tue Dec 12, 2006 5:45 pm
by Abdullah Nazir
"kisi kaa rizq ruk saktaa nahiN khallaq-e-akbar se
Safi pathar ke keeRe ko ghizaa milti hei patthar se".
Shaayer: Safi Aurangaabaadi
Nazir.
Posted: Wed Dec 13, 2006 7:03 am
by muhammad_19k
"InsaaN ko hiqaarat ki nazar se na daikho
takhleeq e do alam ka sabab hai ke naheeN hai?
Posted: Thu Dec 14, 2006 3:36 am
by muhammad_19k
Sara ji aap ka shukriya. agar waqt ne ijaazat di oar koi topic dil ka bhayaa to zaroor likhooN ga.
"aadam ke kissi roop ke tehqeer na karnaa
Phirtaa hai yahaaN khud khudaa bhais badal kar"
sabaq-aamouz
Posted: Fri Dec 15, 2006 2:28 am
by Abdullah Nazir
"khalal pazeer-e-ruToobat houa dimaagh-e-bahaar
Ajhab keh sabza-e-khwaabeedah ko nah hou kaaboos".
Shaayer: Mumin khan :Mumin:
Nazir.
Posted: Fri Dec 15, 2006 6:19 am
by muhammad_19k
"Achhhi Soorat ko sanwarne ki zaroorat kiya hai
Saadgi mieN bhi qiamat ki adaa hoti hai"