Page 15 of 44
pasandeedah
Posted: Mon May 15, 2006 11:51 am
by Abdullah Nazir
""apnaa charaagh-e-umr sar-e-shaam hougayaa
jalne kaa uske kaam nah pahunchaa seHar talak".
Shaayer: MuSHafi
Nazir.
Posted: Wed May 17, 2006 2:32 am
by ummassad
waqt ney vo khaak udayi hey kh dil ky dashat se
qhafiley guzrey hain phir bhi naqsh.e.pa koi nahin
pasandeedah
Posted: Wed May 17, 2006 10:13 am
by Abdullah Nazir
"raushan ho kiyuN nah daagh ke sikkaoN se aadami
chilke khudaa ne jis ko diye wo chamak gayaa".
Shaayer: BeHr
Nazir.
pasandeedah
Posted: Sat May 20, 2006 10:59 pm
by Abdullah Nazir
"hamaaraa aashiyaaN ai baaghbaaN gharat nah kardenaa
hamaare baAd mumkin hei kisi ke kaam aajaaye".
Shaayer: Qamar Jalaalavi
Nazir.
Posted: Sun May 21, 2006 1:20 pm
by hassan_bashir
dil na ummiid to nahiN naakaam hii to hai
lambii hai gham kii sham magar sham hii to hai
pasandeedah
Posted: Sun May 21, 2006 11:43 pm
by Abdullah Nazir
"tum mire saamne gaisoo ko saNwaara nah karo
tum to uTh jaate ho dunyaa mire sar houti hei"
Shaayer: Qamar Jalaalavi
Nazir.
Posted: Tue May 23, 2006 8:30 am
by hassan_bashir
us dariiche meiN bhii ab koii nahiN aur hum bhii,
sar jhukaaYe hue chuup chaap guzar jaate haiN!
apna pasandeedah
Posted: Tue May 23, 2006 8:45 am
by Abdullah Nazir
MaiN hooN amvaaj-e-talaaTum ke muqaabil tanhaa
aur tum ho ke faqaT aek tamaashaayi ho.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue May 23, 2006 3:30 pm
by zmufti
vo saath thaa to ajab dhuup chaa.Nv rahatii thii
bas ab to ek hii mausam Thahar gayaa mujh me.n
Posted: Tue May 23, 2006 6:53 pm
by hassan_bashir
ye kah ke TuuT paDaa shaaKh-e-gul se aaKhirii phuul,
ab aur der hai kitanii bahaar aane meiN !!!!!!!!!!!!!!!!!!!
pasandeedah
Posted: Tue May 23, 2006 11:17 pm
by Abdullah Nazir
"apne lahoo ke gul booTaoN se weerane gulzaar houe
SeHraa SeHraa phool khilaate guzre ham deewane loag"
Shaayer: Shaayer Lucknawi
Nazir.
Posted: Wed May 24, 2006 1:05 pm
by hassan_bashir
jo zindagi thii merii jaaN! tumhare saath gaii,
bas ab to umr ke naqshe meiN vaqt bharna hai!
pasandeedah
Posted: Thu May 25, 2006 3:15 am
by Abdullah Nazir
"Hazaar dasht-e-balaa Halqa-e-acar meiN heiN
Miraa junooN hei ke chashm-e-ghazaal kaa jaadoo".
Shaayer: taabish Dehlawi.
Nazir.
Pasandeedah
Posted: Thu May 25, 2006 4:05 pm
by Abdullah Nazir
"Ishq meiN Taabish nahiN vajh-e-nishaaT
Ab yeh rasm-e-dard bhi dil se uThi."
Shaayer: Tabish Dehlawi..
Nazir.
Pasandeedah
Posted: Sat May 27, 2006 1:05 am
by Abdullah Nazir
b]
"Zakhm-e-dil ki yeh havas jab hei ke achchaa hi nah hou
kiyuN nah marham se rahe door namakdaaN ke qareeb."
Shaayer: Hasrat Mouhani.
Nazir.
[/b]