Page 15 of 18
Posted: Wed Jun 06, 2007 12:19 am
by ummassad
yarub kisi se cheen ke mujhko khushi dee.
jo dousroun pe baar ho vo zindzgi na dee.
Posted: Wed Jun 06, 2007 12:25 am
by ummassad
yaa rub kisii se cheen ke mujhko khushi na dey
jo doosroun pe baar ho vo zindagi na dey.
Posted: Thu Jun 07, 2007 7:13 pm
by ummassad
yahi hey aazmana tu satana kisko kahtey hain
aadu ke holiye jeb tum tu mera imtihaan kyun ho.
Posted: Sat Jun 09, 2007 6:27 pm
by ummassad
asrar e haqiqat khultey hain ibut ki bhari barsaatoun main
anwaar ki baarish hoti hey hasti ki andhery raatoun main.
Posted: Tue Jun 12, 2007 3:05 pm
by zmufti
nahii.n ki mujhako qayaamat kaa etiqaad nahii.n
shab-e-firaaq se roz-e-jazaa ziyaad nahii.n
Posted: Wed Jun 13, 2007 6:22 pm
by balvinder
ye mera dil hai ki maNzar ujaaRh bastii ka
khule hue haiN sabhii dar yakiiN nahiiN aata
''shaharyaar''
Posted: Wed Jun 13, 2007 6:30 pm
by zmufti
itne tirre ham surat kis kis jagah baste heN
har simt mujhe koi tujh saa nazar aata hai
Posted: Thu Jun 14, 2007 10:13 pm
by ummassad
yeh hey saher e hawes pahchanna mushkil hey loogoun ka
yahan chairey bhi biktey hain dukaanoun main naqaboun ki
Posted: Sun Jun 17, 2007 3:53 pm
by zmufti
yeh ab jo aag bana shahr shahr phaila hai
yahi dhuaaN mirre dar-o-deewaar se nikla thaa
Posted: Sun Jun 17, 2007 4:11 pm
by ummassad
aankhain bhi dashat dashat hain dil bhi dukha hua.
guzra tha vo bhi aaj hamain deekhta hua .
Posted: Wed Jun 20, 2007 9:46 am
by Ibn-e-siddique
noor-e-Khudaa hai kufr ki Harkat pe khandah zan
phooNkoN se ye charaagh bujhaaya na jaaye ga
Posted: Thu Jun 21, 2007 4:50 am
by ummassad
yaqhee.n mahkum amal paihum mahubat fatahe aalam
jahad e zindagani main hain yeh mardoun ki shamsheerain.
Posted: Thu Jun 21, 2007 3:49 pm
by zmufti
nahiiN nigaah meN manzil to justajuu hii sahii
nahiiN visaal mayassar to aarazuu hii sahii
Posted: Sat Jun 23, 2007 11:25 pm
by ummassad
rehmath pe teri merey gunhoun ko naaz hey .
banda houn jaanta ki tu banda nawaz hey.
Posted: Mon Jun 25, 2007 5:09 am
by Ibn-e-siddique
ye misra likh diya kis shokh ne meHraab-e-masjid per
ye naadaaN gir gaye sajday meiN jab vaqt-e-qayaam aaya