Page 15 of 65
"jisko"
Posted: Tue Apr 26, 2005 4:41 am
by Abdullah Nazir
jisko hei bas fikr apni, us se kyaa maTlab mujhe
aisi suHbat se tou bachne do khudaaraa ab mujhe.
(aisi / mujhe)
Nazir.
Posted: Tue Apr 26, 2005 4:50 am
by Hashmat Usmani
aataa hai yaad mujhko guzraa huaa zamaanaa
vo baaGh kii bahaareN, vo sabkaa chehchahaanaa
'allaamah Iqbaal
VO / CHEHCHAHAANAA
wo
Posted: Tue Apr 26, 2005 4:56 am
by Abdullah Nazir
wo umr-e-raftah kii yaaden wo gulsitaaN apnaa
muskuraane de nah aaraam se jeene de mujhe.
(muskuraane / mujhe)
Nazir.
Posted: Tue Apr 26, 2005 6:02 am
by Hashmat Usmani
mujhe, ai naa_Khudaa! aaKhir kisii ko muNh dikhaanaa hai
bahaana kar ke tanhaa paar utar jaanaa nahiiN aataa
Yagaana Yaas Changezii
BAHAANA / AATAA
Posted: Wed Apr 27, 2005 12:01 am
by najma
wo to unka zarf tha, aur ye hamara hauslah
zulm wo karte rahay, ham marhaba kehte rahay
najma
zulm/rahay
Posted: Wed Apr 27, 2005 1:58 am
by Hashmat Usmani
zulm ke paaoN se jo phuul masal jaate haiN
Khaar ban kar vahii patthar pe nikal aatehaiN
Azra Aadil Rasheed
KHAAR / HAIN
"khar"
Posted: Wed Apr 27, 2005 3:25 am
by Abdullah Nazir
khaar hii khaar heiN jab raah-e-wafaa meiN jaanaaN
ishrat-e-shauq kii ummeed kahaaN se laaooN.
(ishrat / laaooN)
Nazir.
Posted: Wed Apr 27, 2005 4:19 am
by Hashmat Usmani
'ishrat-e-qatra hai, daryaa meN fanaa ho jaanaa
dard kaa Had se guzarnaa, hai davaa ho jaanaa
Ghaalib
DARD / JAANAA
Posted: Wed Apr 27, 2005 11:02 am
by najma
dard-o-Gham, ranj-o-alam, aah-o-fuGhaaN the mere saath
aap phir kese mujhe tanhaa bhalaa kehte rahay?
najma
aap/rahay
Posted: Wed Apr 27, 2005 11:12 am
by najma
wo chahta tha keh gum-naam hi mujhe rak,khe
magar ye mujh meiN thi jur,at, keh naam looN apna
khawar qureshi
magar/apna
Posted: Wed Apr 27, 2005 1:05 pm
by Hashmat Usmani
apnaa Gham le ke kahiiN aur na jaayaa jaaye
ghar meN bikhrii huii chiizoN ko sajaayaa jaaye
Nida "Faazlii"
GHAR / JAAYE
Posted: Wed Apr 27, 2005 1:08 pm
by najma
ghar ka ghar qurbaan jis ne rah-e-haqq pe kardiya
us jarii ko, haidar-e-karraar ko mera sallam
najma
us/salaam
Posted: Thu Apr 28, 2005 1:27 am
by Hashmat Usmani
har taraf, har jagah be_shumaar aadamii
phir bhii tanhaaiiyoN kaa shikaaraadamii
Nida Faazlii
PHIR / AADMI
Posted: Thu Apr 28, 2005 1:58 am
by najma
mujh ko zehraab-e-aarzoo de kar
maar dala hay khud maseehaa ne
najma
maar/maseehaa
Posted: Thu Apr 28, 2005 2:11 am
by Hashmat Usmani
maaraa us ne mujhe chasm-e-adaa se pahle
apnii manzil ko pahoNch jauuN qazaa se pahle
Momin KhaaN "Momin"
APNI / PAHLE