Page 15 of 43

Posted: Fri May 20, 2005 7:14 pm
by najma
aap haiN ibtida, aap hi intihaa
maiN to paida huee aap hi ke liye
najma

javaab

Posted: Fri May 20, 2005 9:38 pm
by Abdullah Nazir



Sun ke iqraar-e-Ahd-e-wafaa aap se

zindagaanii ko meri qaraar aagayaa.



Nazir.


Posted: Fri May 20, 2005 9:51 pm
by najma
aagaya hay qaraar ka mausim
phir bhi dil ko mire qaraar naheeN
najma

Posted: Sat May 21, 2005 12:59 am
by Hashmat Usmani
haath siine pe jo rakh do to qaraar aa jaaye
dil ke ujRe huye gulshan meN bahaar aa jaaye


Azeez Kashmiri

Posted: Sat May 21, 2005 1:23 am
by najma
un laboN ki bahaar, uff taubah
''phool khilte haiN muskuraane se''
najma

Posted: Sat May 21, 2005 1:29 am
by Hashmat Usmani
uskii baateN bahaar kii baateN
vaadii-e-laala_zaar kii baateN


Sa'eed "Raahii"

Posted: Sat May 21, 2005 1:31 am
by najma
un k ghusse se bijliyaaN chamkeeN
barsii barsaat, batoN baatoN meiN
najma

Posted: Sat May 21, 2005 1:35 am
by Hashmat Usmani
ham to samjhe the k barsaat meN barsegii sharaab
aayii barsaat to barsaat ne dil toR diyaa


Sudarshan "Faakir"

Posted: Sat May 21, 2005 1:44 am
by najma
ham to samjhe thay k ik zakhm hay, bhar jaeyga
kya khabar thii k rag-e-jaaN meiN utar jaeyga

Posted: Sat May 21, 2005 2:07 am
by Hashmat Usmani
paaoN ke zaKhm haiN farsh-e-gul-e-tar hone tak
raah dushvaar hai aaGhaaz-e-safar hone tak


Himaayat Ali "Shaayar"

Posted: Sat May 21, 2005 2:10 am
by najma
rah,bar samajh liya hay tujhe, gard-e-karawaaN
chalte rahrNgay ham bhi, jahaaN tak ghubaar hay
najma

Posted: Sat May 21, 2005 3:36 am
by Hashmat Usmani
itnii jaldii to badalte nahiiN hoNge chehre
gard_aaluud hai, aaiine ko dhoyaa jaaye


Shahid Kabir

Posted: Sat May 21, 2005 8:49 am
by najma
sheeshoN ke muqaddar meiN bhi pat,thar nikal aaey
apna jinheN samjhe thay, sitam-gar nikal aaey
najma

Posted: Sun May 22, 2005 8:32 am
by najma
deewaangii ki detaa hay tohmat ha-ek shakhs
kis jurm ki milii hay sazaa, tere shehr meiN?
najma

javaab

Posted: Tue May 24, 2005 11:30 am
by Abdullah Nazir



afsous us ne waAdah wo iqraar touRkar

kehne lagi ke khwaab kii baateN nah keejiye.



Nazir.