Page 16 of 17
sabaq=aamouz
Posted: Fri Dec 15, 2006 12:12 pm
by Abdullah Nazir
b]
"Fani Decan meiN aake yeh uqdah khulaa keh ham
HinduostaaN meiN rehte heiN HindoustaaN se door".
Shaayer: Fani Badauni
Nazir.
[/b]
sabaq-aamouz
Posted: Sat Dec 16, 2006 5:08 am
by Abdullah Nazir
"jaan dee, dee houee usi ki thee
Haq tou yeh hei ke Haq adaa nah houaa.
Shaayer: Ghalib
Nazir.
sabaq-aamouz
Posted: Sun Dec 17, 2006 6:04 am
by Abdullah Nazir
"huee nah zaagh meiN paidaa buland parwaazi
kharab kargayi shaaheeN bache ko SuHbat-e-zaagh".
Shaayer: Iqbal
Nazir.
sabaq-aamouz
Posted: Mon Dec 18, 2006 7:58 pm
by Abdullah Nazir
"thay tou aabaa wo tumhaare hee magar tum kyaa hou
haath per haath dhare muntazir-e-fardaa hou".
Shaayer: Iqbal
Nazir.
Posted: Mon Dec 18, 2006 8:19 pm
by hassan_bashir
maaNg lo maaNg lo chashm-e-tar maaNg lo
dard-e-dil aur husn-e-nazar maaNg lo
kamali vaale kii nagarii meiN ghar maaNg lo
maaNgane ka mazaa aaj kii raaat hai!!
sabaq-aamouz
Posted: Tue Dec 19, 2006 6:31 am
by Abdullah Nazir
[align=center]Nizam-e-beHr meiN khoukar sanbhal jaa
taRap jaa pech kha kha kar sanbhal jaa
nahiN saaHil tiri qismat meiN ai mauj
ubhar kar jis Taraf chaahe nikal jaa
shayer: Iqbal.
[/align]
Nazir.
Posted: Mon Dec 25, 2006 10:30 am
by balvinder
tasavvuraat kee khalvat mein kar talaash usko
tahayyuraat kee duniyaa mein kyo'n bhataktaa hai
''seemaab''
sabaq-aamouz
Posted: Tue Dec 26, 2006 1:37 am
by Abdullah Nazir
"nizaam-e-beHr meiN khoukar sanbhal jaa
taRapjaa pech khaa, khaakar sanbhal jaa
nahiN saaHil tiri qismat meiN ai mauj
ubharkar jis Taraf chaahe nikaljaa".
Shaayer: Iqbal
Nazir.
Posted: Tue May 01, 2007 4:44 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Husn meN rang-e-wafa daolat meN taskeen-e-tamaam
aadamee meHsoos karta hai magar hotee naheeN!
Posted: Tue May 22, 2007 1:05 pm
by urdudiya
butoN ka daikhna kiyaa hei nazar apni yeH kehti hei
keH jou kuch Toor per Moosa ney dekha hum bhi dekhengey
Posted: Thu Jun 07, 2007 7:39 pm
by ummassad
jurat e kirdaar ki hey yeh bhi aik roushan misaal.
aik adna sa diya hey aandhiyoun key saamney.
Posted: Sun Jun 17, 2007 4:32 pm
by ummassad
guzaro zindzgi apni hamaisha neek kamoun main.
nh jaaney kounsa pal mout ka paigam hojaiye.
Posted: Sat Jun 23, 2007 11:44 pm
by ummassad
urd gaiye aahbaab pehley khusk patoun ki terha .
muflisi main doosti ki shaak khali hogai
Posted: Thu Aug 16, 2007 12:44 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
"thay tou aabaa wo tumhaare hee magar tum kyaa hou
haath per haath dhare muntazir-e-fardaa hou".
Posted: Sun Aug 19, 2007 2:14 am
by ummassad
jo dard mila hey apnoun se gairoun se shikayet koun karey.
jo zakm diye hain phooloun ne kantoun se shikayet koun karey.