Page 16 of 44

Posted: Sun May 28, 2006 6:30 pm
by zmufti
abhii aur tez kar le sar-e-Khanjar-e-adaa ko
mere Khuu.n kii hai zaruurat terii shoKhii-e-hinaa ko

Pasandeedah

Posted: Mon May 29, 2006 4:09 am
by Abdullah Nazir



"kise khabar thii ke yeh daur-e-khudgharaZ ik din

junooN se qeemat-e-daar o rasan chupaayegaa"


Shaayer: Ihsan Daanish


Nazir.


Posted: Mon May 29, 2006 5:32 pm
by zmufti
kitni dilchasp haqeeqat hai yeh azdaad ka husn
meray chehray ki siyaahi tirre chehray ka nikhaar

pasandeedah

Posted: Mon May 29, 2006 7:29 pm
by Abdullah Nazir



"shaam hi se bujhaa saa rehtaa hei

dil hei goyaa charaagh muflis kaa".


Shaayer: Meer Taqi Meer.


Nazir.


Posted: Tue May 30, 2006 9:12 am
by hassan_bashir
zamiiN pe Chal na sakaa aasmaan se bhii gayaa
kaTaa ke par ko parindaa uRaan se bhii gayaa

pasandeedah

Posted: Fri Jun 02, 2006 4:03 am
by Abdullah Nazir



"MuHabbat meiN ik aisaa waqt bhee aataa hei insaaN per

sitaaraoN kee chamak se chouT lagti hei rag-e-jaaN per."


Shaayer: seemaab akberaabaadi.


Nazir.


Posted: Fri Jun 02, 2006 4:08 pm
by zmufti
taaroN bhara aasman-e-muhabbat
jazbaat ka bahr-e-baikraaN ham

Pasandeedah

Posted: Fri Jun 02, 2006 6:02 pm
by Abdullah Nazir



"Nazar farebiy-e-ranj-e-chaman se bach Makhmoor

jise tuu phool samajh le kahiN sharaara ho"


Shaayer: Makhmoor Saieedi


Nazir.


Posted: Sat Jun 03, 2006 5:45 pm
by zmufti
aye khuda ab teray firdous pe hai haq mera
tu ne is daur ke dozakh maiN jalaya hai mujhe

Pasandeedah

Posted: Sun Jun 04, 2006 7:12 am
by Abdullah Nazir



"WeHshat se meri saare aHibba chale gaye

aanaa hei gar to aa'ou ke khaali makaaN hei ab"


Shaayer: Mumin.


Nazir.


Pasandeedah

Posted: Sun Jun 04, 2006 7:13 am
by Abdullah Nazir



"WeHshat se meri saare aHibba chale gaye

aanaa hei gar to aa'ou ke khaali makaaN hei ab"


Shaayer: Mumin.


Nazir.


Posted: Mon Jun 05, 2006 6:35 pm
by zmufti
zindagii tere tasavvur se alag rah na sakii
naGmaa koii ho magar saaz yahii kaam aayaa

pasandeedah

Posted: Mon Jun 05, 2006 11:50 pm
by Abdullah Nazir



"farsh-e-gul , meenaay-e-mai, shamA-e-saHar, saaz-e-sukhan

sab uThe lekin nah uThThaa maiN kharaab-e-anjuman"


Shaayer: MajrooH SulTaanpuri


Nazir.


pasandeedah

Posted: Tue Jun 06, 2006 11:06 pm
by Abdullah Nazir



"MajrooH kahaaN se guhar-e-gandum o jao laayeN

saapni to gireh meiN yehi chashm-e-nigaraaN hei"


Shaayer: MajrooH SulTaanpuri


Nazir.


Posted: Wed Jun 07, 2006 7:52 pm
by zmufti
gharoor-e-hasti ne maar daala wagarna ham log jee hi laite
kissi ki aankhoN ka noor ho kar kissi ke dil ka qarar ban kar