Page 16 of 18
Posted: Tue Jun 26, 2007 6:42 pm
by zmufti
tamannaaoN ke bahalaave meN aksar aa hii jaate haiN
kabhii ham choT khaate haiN kabhii ham muskuraate haiN
Posted: Thu Jun 28, 2007 4:54 pm
by Naveed_Ahmad_Naveed
nayi tarha se nibhane ki dil ney thani hai
wagrna us se muhabbat bohat purani hai
zameeN pe reh ke sitare shkar karte heiN
mizaaj ahel e muhabbat ka aasmani hai--
''yeh''
Posted: Sat Jun 30, 2007 10:00 am
by balvinder
yooN to Khud ham bhii nahiiN apne
yooN to jo bhii hai, apnaa hai
''firaq''
''ye''
Posted: Mon Jul 02, 2007 4:50 am
by ummassad
yaadain chalien khiyal chaley ashk e ter chaley.
leyker paiyam e shouq kaiye namaber chaley.
Posted: Mon Jul 09, 2007 2:58 pm
by balvinder
ye kyaa, ke tum to paikar-e-hairat hi ban gaye
ye to ghazal ke she'r haiN, jaadoo nahiN koii
Posted: Thu Jul 12, 2007 2:53 pm
by zmufti
yaa jaate hue mujh se lipat jaati thiiN shaakhieN
yaa mere bulaane se saba tak nahiN aati
Posted: Fri Jul 20, 2007 2:10 pm
by balvinder
yaad kar lenaa kabhii merii bhii shaam-e-gham ko
apnii purkaif-o-tarabKhez kishii shaam ke saath
zulfiqaar ''taabish''
Posted: Tue Jul 24, 2007 1:48 am
by ummassad
niaz.e ishq ko samjha hey kiya aye waiz e nadaan.
hazaroun bun gaiye kaabey jabeen mianney jahan rakhdi.
Posted: Tue Jul 24, 2007 1:07 pm
by balvinder
ye jagah to ik ibaadat-gaah hai
is jagah ik maikadaa thaa, kyaa huaa ?
''fana'' kanpuri
Posted: Tue Jul 24, 2007 2:11 pm
by balvinder
takmiil-e-dard hotii hai, jab har davaa ke baad
hasrat se dekhtaa hai, meraa chaaragar mujhe
akbar haidari
Posted: Wed Jul 25, 2007 9:58 am
by balvinder
gaye jis bazm meN, roshan chiraagh-e-husn se kar dii
bahaar-e-taaza aaii, tum agar gulzaar meN aaye
Haidar ali ''aatish''
Posted: Thu Jul 26, 2007 3:04 am
by ummassad
youn nikalna din ba din youn rafta rafta doobna.
daastan e zindagi her mah dohraata hey chand.
Posted: Thu Jul 26, 2007 10:00 am
by balvinder
dil ki viiraani se ziyaada mujhko hai is baat ka gham
tumne vo ghar kaise looTa jis ghar meN mehmaaN hue
''Raahi'' maasoom razaa
Posted: Thu Aug 02, 2007 12:53 pm
by balvinder
ye bhookh, ye zillat ke dere, ye maut-o-tabaahi ke fere
ab kaun bataaye ye sab kuchh, kis simt ishaara karte haiN
''naazish'' partapgaRhi
Posted: Wed Aug 08, 2007 11:11 am
by hassan_bashir
yeh sharaab mai-kade kii hai garche kaif parvar,
jo nazar se tum pilaate to kuch aur baat hoti!