Page 16 of 65

Posted: Thu Apr 28, 2005 2:17 am
by najma
pehle ye soch lena mausim hay barishoN ka
bahar qadam na rakhna tum is andherii shab meiN
khawar qureshi

Posted: Thu Apr 28, 2005 5:23 pm
by Hashmat Usmani
rukne kaa samai guzar gayaa hai
jaanaa teraa ab Thahr gayaa hai


Parveen Shaakir

jaanaa / hai

Posted: Thu Apr 28, 2005 6:42 pm
by najma
jate hi un ke chal diye sabr-o-qarar-o-hosh
jab tak wo samne rahay, mehfil jami rahii
najma
jab/rahii

Posted: Thu Apr 28, 2005 8:14 pm
by Hashmat Usmani
jab bhii aatii hai terii yaad kabhii shaam ke ba'd
aur baRh jaatii hai afsurda_dilii shaam ke ba'd


Krishn "Adeeb"

AUR / BA'D

Posted: Thu Apr 28, 2005 8:29 pm
by najma
aur baRh jaeygii khalish dil ki
maut bhi aagaee to kya hoga
najma

Posted: Thu Apr 28, 2005 8:59 pm
by Hashmat Usmani
maut ik giit raat gaatii thii
zindagii jhuum_jhuum jaatii thii


Firaaq Gorakhpuri

ZINDAGI / THI

Posted: Thu Apr 28, 2005 10:25 pm
by najma
zindagi meiN ham ne NAJMA is-qadar khaey fareb
har qadam par rah-zanoN ko rah-numa kehte rahay
najma

har/rahay

Posted: Fri Apr 29, 2005 12:39 am
by Hashmat Usmani
najma wrote:zindagi meiN ham ne NAJMA is-qadar khaey fareb
har qadam par rah-zanoN ko rah-numa kehte rahay
najma

har/rahay
waah Hamsheerah saaHiba, waah...bahot Khoob_soorat she'r kahaa aapne.

har baar maaNgtii hai nayaa chashm-e-yaar dil
ik dil ke kis taraH se banaauuN hazaar dil


DaaGh Dehlavii

IK / DIL

Posted: Fri Apr 29, 2005 12:45 am
by najma
ik din kisi mak,khii se ye keehne laga makRa
is raah se hota hay guzar roz tumhara
lekin miri kiTya ki na jaagi kabhi qismat
bhoole se kabhi tum ne yahaaN paaoN na rak,kha

bhoole/ rak,kha

Posted: Fri Apr 29, 2005 1:25 am
by Hashmat Usmani
bhulaa do! ranj kii baatoN meN kia hai!
idhar dekho! merii aaNkhoN meN kia hai


Shaan-ul-Haq "Haqqi"

IDHAR / HAI

Posted: Fri Apr 29, 2005 2:04 am
by najma
maiN ne dil ka diya jalaya hay
zakhm-e-eh,saas rang laya hay
najma

zakhm/hay

'zakhm"

Posted: Fri Apr 29, 2005 3:20 am
by Abdullah Nazir
[size18]


zakhm jou tum ne diye heiN wo bataaooN kaise

Aag jou dil meiN lagaayii hei bujhaaooN kaise.




nazir.

[/size]

Posted: Fri Apr 29, 2005 7:51 am
by najma
sara_j wrote:zakhm agar mehdood badan tak hou tou koii baat nahiN

baat bigaRjaati hei, jab wo rooH ko bhii majrooH kare

baat karne ka faaida najma?
baat karne se baat jaatii hay
najma
baat/hay

Posted: Sat Apr 30, 2005 4:18 am
by Hashmat Usmani
jaisi mujh par hai paRii vaisi kisii par na paRe
yeh vohii jaane paRe jis pe hai, yaa Khudaa jaane


Hashmat usmani

YEH / JAANE

Posted: Sat Apr 30, 2005 11:28 am
by najma
jane kin lafzoN meiN tajdeed-e-mohabbat ki thii
us ki takmeel labhi saamne aa bhi na sakii
najma

us/sakii