Page 16 of 43
Posted: Tue May 24, 2005 12:09 pm
by najma
rehne deiN apnii yaad, mire dil ke saath saath
itna bhi mujhko be-sar-o-saamaaN na kijiye
najma
javaab
Posted: Tue May 24, 2005 3:49 pm
by Abdullah Nazir
KhaTaa hou meri tou le kaam saaf gouii se
balaa se guzre tiri baat naagawaar mujhe.
Nazir.
Posted: Tue May 24, 2005 7:31 pm
by najma
be-wafa kehta hay, to kyuuN na jafaa bhi kar looN
wo saza de hi raha hay to khataa bhi kar looN
najma
javaab
Posted: Thu May 26, 2005 3:58 am
by Abdullah Nazir
Jaane kiyooN shamA-e-muHabbat ko bujhaanaa chaaha
tum se aisi mujhe ummeed nahiN thee jaanaaN.
Nazir.
Posted: Thu May 26, 2005 4:59 am
by Hashmat Usmani
lab pe tere iqraar-e-moHabbat, sher Ghazal kaa lagtaa hai
sharm se chehra laal gulaabii, phuul kaNval kaa lagtaa hai
naa_ma'loom
Posted: Thu May 26, 2005 9:03 am
by najma
chehra gulaa,b aur ye aaNkheN kan,wal kahooN
tujh-ko Ghazal kahooN, keh maiN jaan-e-Ghazal kahooN
najma ansar najma
javaab
Posted: Sat May 28, 2005 12:25 pm
by Abdullah Nazir
eHsaas-e-dard chehreh kii her ek shikan meiN hei
SeHraa meiN hooN paRaa houaa, aur tuu chaman meiN hei.
Nazir.
Posted: Sat May 28, 2005 8:58 pm
by najma
qafas meiN thay, to har-ik shaakh intizaar meiN yhii
qafas se nikle,to ab aashiyaaN naheeN milta
najma
javaab
Posted: Mon May 30, 2005 9:27 am
by Abdullah Nazir
nah pooch Haal hamaaraa ghubaar-e-seHraa meiN
makaaN se Haalat-e-deewaar o dar nahiN chuptii.
Nazir.
Posted: Mon May 30, 2005 9:33 am
by najma
poocha kisi ne jabmirii barbaadiyoN ka haal
kuch naam dostoN ke nazar se guuzar gaey
najma
Posted: Mon May 30, 2005 5:19 pm
by Taskeen
Dekha jo teer kha kar kameegah ki taraf
Apne hi doston se mulaqaat ho gayee
Posted: Mon May 30, 2005 5:29 pm
by najma
seene meiN rakha hay, shayad wo palat kar maangeiN
HAM NE HAR NEZA-E-zehraab abhi tak mehfooz
najma
javaab
Posted: Wed Jun 01, 2005 4:04 pm
by Abdullah Nazir
Sirf jaahil hii nahiN jisko bhulaadoon dil se
zehr-e-qaatil bhi hei aur jaan kaa dushman bhi hei woh.
Nazir.
Posted: Wed Jun 01, 2005 4:11 pm
by najma
saNp paale thay aasteenoN meiN
kya shikayat kareN zamane se
najma
"javab"
Posted: Fri Jun 03, 2005 6:00 pm
by Abdullah Nazir
saanp hou yaa saNpouliaa koiee
Apne dushman ko doust kaise kahooN
Nazir.