Page 17 of 44
pasandeedah
Posted: Thu Jun 08, 2006 1:35 am
by Abdullah Nazir
"ghair ko bousah diyaa hei tum ne khaTT-e-sabz kaa
be-takalluf hei yeh mere zehr khaane ki jagah.
Shaayer: Aseer.
Nazir.
Pasandeedah
Posted: Sat Jun 10, 2006 12:01 pm
by Abdullah Nazir
"zour hi kyaa thaa jafaay-e-baaghbaaN dekhaa kiye
aashiyaaN ujRaa kiyaa ham naatavaaN dekhaa kiye"
Shaayer: Safi Lucknawi
Nazir.
Posted: Sat Jun 10, 2006 12:30 pm
by Zahid Jahangir
Suna hai ishq naam ke guzre the ik bazurg
ham log bhi mureed ussi silsile ke hain
pasandeedah
Posted: Sun Jun 11, 2006 7:12 am
by Abdullah Nazir
"yaad-e-gaisoo meiN jo aataa hei kabhi housh mujhe
saaraa Aalam nazar aataa hei siah-poush mujhe".
Shaayer:.Safi Lucknawi
Nazir.[/ii]
Posted: Sun Jun 11, 2006 12:23 pm
by Zahid Jahangir
hai mashq e sukhan jaari, chakki ki mashaqqat bhi
ik turfa tamaasha hai Hasrat ki tabiyat bhi
Posted: Sun Jun 11, 2006 7:03 pm
by zmufti
sab kahate hai.n ik jannat utarii hai merii dharatii par
mai.n dil me.n sochuu.N shaayad kam_zor merii biinaa_ii hai
pasandeedah
Posted: Tue Jun 13, 2006 1:51 am
by Abdullah Nazir
"us ghairat-e-naaheed ki her taan hei deepak
shoAlah saa lapak jaaye hei aawaaz to dekhou".
Nazir.
Posted: Tue Jun 13, 2006 8:26 am
by hassan_bashir
yeh baar-e-falak ham ne zameeN par naheeN rakkha
thak kar kisi kaaNdhe pe kabhi sar naheeN rakkha
Pasandeedah
Posted: Thu Jun 15, 2006 10:07 am
by Abdullah Nazir
"Miri naAsh ke sirhaane wo khaRe yeh keh rahe heiN
ise neend yooN na aati agar intizaar houtaa"
Shaayer: Safi Lucknawi.
Nazir.
Posted: Thu Jun 15, 2006 11:14 am
by hassan_bashir
huaa nah jin se kabhi meri chashm-e-ter kaa ilaaj,
vo mere chaak girebaaN ko kyaa rafuu karte?!
Shaayar: Abdullah Nazir.
Pasandeedah
Posted: Thu Jun 15, 2006 5:06 pm
by Abdullah Nazir
"hei hei khudaa-nakhwaastah wo aur dushmani
ai shauq-e-munfaAil yeh tujhe kyaa khayaal hei".
Shaayer: Ghalib.
Nazir.
Posted: Sun Jun 18, 2006 7:07 am
by zmufti
shaam ke saa.Nvale chehare ko nikhaaraa jaaye
kyo.n na saagar se ko_ii chaa.Nd ubhaaraa jaaye
Pasandeedah
Posted: Mon Jun 19, 2006 7:10 am
by Abdullah Nazir
"lagi aag aatish-e-gham ko zabaan-e-khaamah shoAlah hei
jalaadete heiN sao sao khaT dam-e-teHreer akcar ham".
Shaayer: Mumin
Nazir.
Posted: Mon Jun 19, 2006 8:56 pm
by ummassad
wahi aankh bebaha hey jo gam.e.jahan main rooye
wahi jaam; jaam.e.jum hey jo bagair furq chalkey
pasandeedah
Posted: Sat Jun 24, 2006 2:15 pm
by Abdullah Nazir
"saans lesakte nahiN aisi uThee hei dil se hook
kuch to ai zaalim hamaare dard kaa darmaan kar".
Shaayer: Jur'at
Nazir.