Page 17 of 18

Posted: Fri Aug 10, 2007 10:34 am
by balvinder
yooN toRh na muddat ki shanaa-saaii idhar aa
aa jaa meree rooThee huee tanhaaii idhar aa

Posted: Sat Aug 11, 2007 3:53 am
by ummassad
aaiya tera khiyal tuu mahsoos yeh hua.
raqsaan hey zindagi ke andhery main ak kiran.

Posted: Sun Aug 19, 2007 2:05 am
by ummassad
dekh zindan se parey rang e chaman' josh e bahaar.
raqs kerna hey tu phir paoun ki zanjeer na dekh.

Posted: Mon Aug 27, 2007 1:43 am
by ummassad
is mohini surat pe khud husun jazalkhuan hey
thari hui janat hey umda hua tufan hey.

Posted: Thu Aug 30, 2007 2:26 am
by ummassad
aakhir e shab deed k qabil thi bismil ki tarap.
subha dum koi ager balaye baam aaya tu kiya.

Posted: Sat Sep 01, 2007 3:28 pm
by balvinder
ab hamaaraa makaan kis kaa hai
ham to apane makaaN ke the hii nahiiN


Jaun eliya

Posted: Sat Sep 01, 2007 5:01 pm
by ummassad
na ker taqdeer ka shikwa muqader aazmaata ja.
na der manzil ki doori se qadam aage badhata ja.

Posted: Sun Sep 02, 2007 12:20 pm
by balvinder
aaNchal meN niiNd baaNdh ke ai raat aa bhii jaa
ye din lagaa hai jaan ko jaNjaal ki tarah


Hasan ''naeem''

Posted: Thu Sep 06, 2007 6:36 pm
by ummassad
na thi haal ki jub hamain apney khaber ,rahey dekhtey awroun ke ayeb o huner
padi apni buraiyoun per jo nazer ,tu nigha main koi bura na raha.
.

Posted: Sat Nov 03, 2007 4:19 am
by ummassad
aana na meri qhaber ph hamrah raqiban
murdey ko musalman jalaya nahin kaertey

Posted: Tue Nov 06, 2007 6:16 pm
by ummassad
waqif nahin hain loog safar ke usool se.
saaye ki bheek mangtey hain jo babool se.

Posted: Tue Nov 20, 2007 11:11 am
by zmufti
ab us ke waada-e-farda ko bhee taraste heN
kal is ki baat pe kiyoN aetbaar aa na gaya

Posted: Tue Dec 04, 2007 4:40 pm
by zmufti
[align=center]vo mauj-e-khuuN uThii hai keh deewaar-o-dar kahaN
ab ke faseel-e-shahr ko gharqaab dekhna
[/align]

Posted: Fri Jan 11, 2008 5:04 am
by Arif Naseem
tu nay kaha na tha ke main kishti pe bojh hoon
aNkhoN ko ab na DhaNp mujhy doobty bhii daikh

Posted: Sun Jan 13, 2008 5:00 pm
by Arif Naseem
ye mujhy chain kioN nahiiN paRta
aik hii shakhs tha jahaan meN kia