Page 17 of 65
Posted: Sat Apr 30, 2005 7:19 pm
by najma
mujhko zehraab-e-aarzoo dekar
maar Daala hay khud maseehaa ne
najma
maar/maseehaa
Posted: Sun May 01, 2005 1:00 am
by Hashmat Usmani
kisko qaatil maiN kahuuN, kisko masiiHaa samajhuuN
sab yahaaN dost hii baiThe haiN, kise kia samjhuuN
AHmad Nadeem "Qaasmii"
Posted: Sun May 01, 2005 1:05 am
by najma
sab kuch hay magar adl ki zanjeer naheeN hay
ye baat alag, ehd-e-jahaaNgeer naheeN hay
najma
.....................ye/hay
Posted: Sun May 01, 2005 4:14 am
by Hashmat Usmani
ham se na bolo tum, ise kia kahte haiN bhalaa!
insaaf kiije! puuchhte haiN aap hii se ham
Momin KhaaN "Momin"
Posted: Sun May 01, 2005 1:50 pm
by najma
najma wrote:sab kuch hay magar adl ki zanjeer naheeN hay
ye baat alag, ehd-e-jahaaNgeer naheeN hay
najma
.....................ye/hay
Posted: Mon May 02, 2005 1:08 am
by najma
ek main hooN , ek meri be-basi ki shaam hay
ab to tujh bin zindagi bhi mujh pe ik ilzam hay
ab/hay
Posted: Mon May 02, 2005 1:32 am
by najma
phir aseeroN meiN nazar aate haiN aasaar-e-junooN
kijiye deewar-e-zinaaN, aur oonchii kijiye
nafis ahmad siddiqui
pahunchegi
Posted: Mon May 02, 2005 2:20 am
by Abdullah Nazir
pahunchegi dil kii baat agar naaba-bar ke saath
kyaa maiN nah choom loongaa usii mehrbaaN ke haath?
(kyaa / haath)
Nazir.
Posted: Mon May 02, 2005 2:25 am
by najma
kya kaheN jaa ke ab zamane se
log anjaam-e-ishq poochengay
najma
log/poocheN/gay
Posted: Mon May 02, 2005 2:48 am
by najma
itna tanhaa kiya mujhe us ne
aainah bhi wo mera toR gaya
najma
aainah/gaya
Posted: Mon May 02, 2005 5:26 am
by Hashmat Usmani
aaiina kiuN na duuN k tamaashaa kaheN jise
aisaa kahaaN se laauuN k tujh saa kaheNjise
chachaa
AISAA / JISE
Posted: Mon May 02, 2005 12:34 pm
by najma
jise bhi dekho, hay apne hii aap meiN uljha
keh faiz-e-aam, zamane meiN hogaya naayaab
najma
keh/naayaab
Posted: Tue May 03, 2005 12:13 am
by najma
aainoN ki taqdeer meiN pat,thar nikal aey
apna jinhe samjhay thay, sitamgar nikal aey
najma
apna/aey
Posted: Tue May 03, 2005 4:47 am
by Hashmat Usmani
aaye haiN samjhaane log
haiN kitne diivaane log
Mahendra Singh Bedi "SaHar"
HAIN / LOG
Posted: Tue May 03, 2005 12:50 pm
by najma
haiN log wo hi jahaN meiN achay
aate haiN jo kaam doosroN ke
aate/doosroN ke