Page 17 of 43

Posted: Fri Jun 03, 2005 6:35 pm
by najma
dost na-dan ho agar najma
dostii meiN shumaar mat karna
(doustaoN)

najma

Posted: Sun Jun 05, 2005 4:37 am
by Hashmat Usmani
naa_daaN kii dostii, jii kaa ziyaaN!
jaane naa baalmaa, moraa piyaa!!
:lol:

naa_ma'loom :lol:

Posted: Sun Jun 05, 2005 11:06 am
by najma
naadaanii hay raaz ki baateiN hushyaaroN se keh denaa
bojh agar halka karnaho, deewaaroN se keh denaa
najma

Javaab

Posted: Sun Jun 05, 2005 5:42 pm
by Abdullah Nazir



Raat gaye jab baateN kartaa rehtaa hooN deewaraoN se

neend churaane waale kii yaadaoN ka sahaaraa letaa hooN.




Nazir.


Posted: Sun Jun 05, 2005 7:13 pm
by Hashmat Usmani
yaad e maazii 'azaab hai, yaaro!
yaa Rab! chheen le Haafiza meraa

Posted: Sun Jun 05, 2005 7:30 pm
by najma
shab-e-furqat tarapna daagh ka dekha naheen jata
guzar jaatii hay saarii raat, saare ghar ko sanjhaate
daagh

javab

Posted: Sun Jun 05, 2005 8:05 pm
by Abdullah Nazir



visaal-e-yaar ke lamHe moyassar aaye mushkil se

nah khoujaayeN kahiN zulf-e-pareshaaN ke sanwarne meiN.



Nazir.


Posted: Sun Jun 05, 2005 8:18 pm
by najma
yaar se cheR cahlii jaey asad!
gar naheeN vas,l to hasrat hi sahii

javaab

Posted: Mon Jun 06, 2005 2:44 am
by Abdullah Nazir



Shaam-e-firaaq-yaar udaasi mili mujhe

shayad wo souchte heiN ke Aadat sii hougaiee.



Nazir.


Posted: Mon Jun 06, 2005 9:46 am
by najma
yaad aaey gii unko tab merii
jab koee or-na hamsafar hogii

najma

Javaab

Posted: Mon Jun 06, 2005 12:22 pm
by Abdullah Nazir



Dil meiN yaadaoN se tumhaari, hei charaaghaaN kab se

Bhool jaaougi tou jeenaa miraa mushkil hougaa.



Nazir.


Posted: Mon Jun 06, 2005 2:07 pm
by najma
kya bane-gaa mareez-e-furqak ka
dard bhi dil se jab judaa hoga
najma

javaab

Posted: Tue Jun 07, 2005 8:14 am
by Abdullah Nazir



aankh nam hougaiee shab-e-hijraaN

Haal-e-dil lab pah aagayaa aakhir.



Nazir.


javaab

Posted: Tue Jun 07, 2005 9:54 am
by Abdullah Nazir



Chup chup ke jo dil jalaarahe hou

Deewaanah kise banaarahe hou.



Nazir.


Posted: Tue Jun 07, 2005 6:28 pm
by najma
jab se tuu ne mujhe deewana bana rak,kha hay
sag har shakhs ne haathoN meiN utha rakkha hay