Page 18 of 44
Posted: Sat Jun 24, 2006 8:24 pm
by zmufti
nazar fareb-e-kazaa khaa ga_ii to kyaa hogaa
hayaat maut se Takaraa ga_ii to kyaa hogaa
pasandeedah
Posted: Sun Jun 25, 2006 5:50 am
by Abdullah Nazir
"lazzat-e-Aish-e-vaSl kyaa jaaneN
is meiN HiSSah hameN milaa hee nahiN".
Shaayer: Ameer Meenaayi
Nazir.
pasandeedah
Posted: Mon Jun 26, 2006 8:03 am
by Abdullah Nazir
"aayaa hee thaa abhi mire lab per wafaa kaa naam
kuch doustaoN ne haath meiN patthar uThaaliye."
Shaayer: Qateel Shifayi
Nazir.
Posted: Mon Jun 26, 2006 3:16 pm
by zmufti
u.Ngaliyo.n ko taraash duu.N phir bhii
aadatan us kaa naam likkhengii
Pasandeedah
Posted: Tue Jun 27, 2006 2:36 am
by Abdullah Nazir
"jee gayaa Meer kaa is lait o laAal meiN lekin
nah gayaa zulm hee teraa nah bahaana hee gayaa".
Shaayer: Meer Taqi Meer..
Nazir.
Posted: Tue Jun 27, 2006 11:29 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
meree aaNkhooN meN Sabr-e-sirat-e-at´har chamakta hai
bala se shehr-e-qatil meN agar khanjar chamakta hai.
shae'er Abdullah Nazir
Posted: Tue Jun 27, 2006 5:27 pm
by ummassad
wohee kaarwan wohee raasty wohee zindagi wohi merhaley
mager apney apney muqaam per kabhi tum nahin kabhi hum nahain
Posted: Tue Jun 27, 2006 6:54 pm
by zmufti
sochataa huu.N ke ab a.njaam-e-safar kyaa hogaa
log bhii kaa.Nch ke hai.n, raah bhii pathariilii hai
pasandeedah
Posted: Wed Jun 28, 2006 10:33 am
by Abdullah Nazir
"ghuroor-e-ishq ziyaadah ghuroor-e-Hujsn se hei
udhar tou aankh phiri dam idhar rawaanah houaa"
Shaayer: Haidar ali aathish
Nazir.
Posted: Wed Jun 28, 2006 8:30 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
maza aajae ga meHshar meN kuch sunne sunane ka
zubaaN to ho gee meree guftago par aap kee ho gee.
simaab akbar aabadee.
Pasandeedah
Posted: Fri Jun 30, 2006 9:45 am
by Abdullah Nazir
"Haqq-e-khidmat meiN nahiN koii kamee kee ham ne
jaaNfishaani kaa ab inSaaf hei sarkaar ke haath"
Shaayer: aatish
Nazir.
Posted: Fri Jun 30, 2006 1:09 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
durood-e-pak se itnee munawwar hai miree hastee
jahaN peshanee jhuktee hai wahaaN pat´thar chamakta hai.
shaeer, moHtaram Abdullah Naz^ir
Posted: Fri Jun 30, 2006 6:51 pm
by zmufti
aabaad ham aashuftaa saro.n se nahii.n maqtal
ye rasm abhii shahar me.n zindaa hai ke tum ho
Posted: Fri Jun 30, 2006 11:25 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
dostooN tak meree aawaz naheeN hai meHdood
mera peGham moHabbat hai jahaaN tak pohnche.
jigar murad aabadee
pasandeedah
Posted: Sat Jul 01, 2006 6:14 am
by Abdullah Nazir
"tegh uski maArke meiN jo chamki hilaal waar
sharmindah houke chaand sipar se nikal gayaai."
Shaayer: amaanat
Nazir.