Page 18 of 29
Posted: Sun May 21, 2006 1:11 pm
by hassan_bashir
kab tak dil ki Kher manaayeN, kab tak raah dikhao ge?
kab tak chen ki mohlat do ge, kab tak yaad na aao ge?!
maqTaA
Posted: Sun May 21, 2006 11:58 pm
by Abdullah Nazir
"Jaan de denge kisi daaman-e-SeHraa meiN Qamar
margayaa kaun kahaaN kis ko khabar houti hei".
Shaayer: Qamar Jalaalavi
Nazir.
Posted: Mon May 22, 2006 7:35 am
by hassan_bashir
haaN vo nahiiN Khudaaparast, jaao vo bevafaa sahii !
jisako ho diin-o-dil aziiz, usakii galii maiN jaaye kyuuN ?!
Posted: Mon May 22, 2006 12:29 pm
by hassan_bashir
kyuN.kar us but se rakhuuN jaan aziiz?
kyaa nahiiN hai mujhe iimaan aziiz?!
Posted: Tue May 23, 2006 8:14 am
by hassan_bashir
thak thak ke har maqaam pe do chaar rah gaye !
teraa pataa na paayeN to naaChaar kyaa kareN ?
???
Posted: Tue May 23, 2006 8:57 am
by Abdullah Nazir
Ishrat-e-saaya-e-gul yaad dilaate kiyuN ho
khwaab meiN aate ho kiyuN neend uRaate kiyuN ho.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue May 23, 2006 6:50 pm
by hassan_bashir
Chamak rahaa hai jo daaman pe donoN firaqoN ke,
baGhaur dekho ye isalaam kaa lahuu to nahiiN ?
???
Posted: Tue May 23, 2006 11:22 pm
by Abdullah Nazir
Said-e-qaus-e-abroo kaa thaa firaar naa-mumkin
teer kyaa khaTaa houtaa aap ka nishaane se.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed May 24, 2006 1:03 pm
by hassan_bashir
ab miri koii ziNdagi hii nahiiN!
ab bhii tum merii ziNdagi ho kya?!
???
Posted: Thu May 25, 2006 3:20 am
by Abdullah Nazir
baqaid-e-khooy-e-taghaaful thaa kyaa paRi thi use
milaa hei mujh se wo zaalim to berukhi se milaa
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
???
Posted: Sun May 28, 2006 12:24 am
by Abdullah Nazir
ajnabi hougaye ham ghair houe heiN tere
inqilabaat houe chashm zadan meiN kyaa kyaa.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun May 28, 2006 6:37 pm
by zmufti
kyaa ye bhii zindagii hai ki raahat kabhii na ho
aisii bhii to kisii se mohabbat kabhii na ho
???
Posted: Mon May 29, 2006 4:04 am
by Abdullah Nazir
kitnaa naadaan hooN kaisi hei yeh Hasrat meri
paabajoulaaN rahuN aur paauN meiN zanjeer nah ho.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon May 29, 2006 5:42 pm
by zmufti
kyo.n hijr ke shikave karataa hai kyo.n dard ke rone rotaa hai
ab ishq kiyaa hai to sabr bhii kar is me.n to yahii kuchh hotaa hai
???
Posted: Mon May 29, 2006 7:20 pm
by Abdullah Nazir
us jagah kaise kahooN Haal-e-gham-e-dil apnaa
baat karne se jahaaN per hou bhali khaamoushi.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.