Page 18 of 18

Posted: Mon Jan 14, 2008 10:45 am
by Ujala Arif
na gaNwaw naawak i niim kash dil i raiza raiza gaNwa dia
jo bachy haiN saNg samaiT lo tan i dagh dagh luTa dia

Posted: Wed Jan 16, 2008 4:58 pm
by Arif Naseem
na hony ka asraar hony ky aazaar say kam nahiN hay
yeh saaNsoN ka beopaar socho to beegaar say kam nahiN hay

Posted: Sat Jan 26, 2008 4:06 am
by Arif Naseem
yuN to wo har kisii say miltii hay
ham say apnii khushii say miltii hay

Posted: Sun Feb 03, 2008 6:30 pm
by ummassad
yeh galat kaha kisi ne hamain gul ki aarzu hey .
jo kabhi pyasa tha dil' wohi khaar dhoundta houn .

Posted: Wed Feb 06, 2008 2:59 am
by ummassad
yeh wafa ki sakath raheen awer tumharey paiye nazuk.
na lo imtiqam mujh se merey saath saath chalkey.

Posted: Mon Feb 11, 2008 5:43 pm
by balvinder
yooN to har chiiz salaamat hai merii duniyaa meiN
ek ta'alluq hai jo TooTaa huaa lagtaa hai

Posted: Sun Feb 17, 2008 6:47 pm
by ummassad
yeh chand aasmaan ka shair ka dil hey goya.
wan chandni hey jo kuch' yan dard ki kasak hey.
.

Posted: Mon Feb 18, 2008 2:12 pm
by balvinder
yeh kamaal-e-ishq ki saazisheN, yeh jamaal-e-husn ki naazisheN
yeh inaayateN, yeh nawaazisheN, miri eik musht-e-ghubaar par?

Posted: Tue Feb 26, 2008 1:59 am
by ummassad
yeh udaas udaas phirna yeh kisi se bhi na milna.
hey younhin nahin yeh sub kuch koi saniha tu hoga.

Posted: Mon May 05, 2008 3:19 am
by ummassad
yeh aarzu hey ki her chesham e moataber main rahoun
main aik zarra sahi kainat bher main rahoun

Posted: Mon May 05, 2008 11:10 pm
by ummassad
aansoo they so khushak huey ji hey ki umanda aata hey.
dil pe ghata si chaii hey,khulti hey na barasti hey.