Page 18 of 65

Posted: Tue May 03, 2005 1:01 pm
by Hashmat Usmani
aate_aate meraa naam saa rah gayaa
us ke hoNToN pe kuchh kaaNptaa rah gayaa


Waseem Barelvii
US / GAYAA

Posted: Tue May 03, 2005 7:42 pm
by najma
is tarha zamana mira dam-saz hua tha
acha na laga main, to bura kehne lage log
khawar qureshi

Posted: Wed May 04, 2005 2:49 am
by Hashmat Usmani
najma wrote:is tarha zamana mira dam-saz hua tha
acha na laga main, to bura kehne lage log
khawar qureshi
lagtaa hai aapse chhoTii sii chook ho gaii...aapko lafz-e-"US" se she'r denaa thaa na ki lafz-e-"IS" se. :-)

achchhaa! jo Khafaa ham se ho tum, ai sanam! achchhaa!!
lo ham bhii na boleNge, Khudaa kii qasam! achchhaa!!



Inshaa~ Ullah KhaN "Inshaa~"
LO / ACHCHHAA

Posted: Wed May 04, 2005 10:45 am
by najma
sara_j wrote:Achchaa Hai Ke Tum Bhi Mohobbat Karne Lage Magar

Sunaane Ki Nahi Janaab! Sunne Ki Aadat Daalo.


Faiz Ahmed Faiz

sara jee! :-) :grin:
ye aap ke liye fil-badee, arz kya hay


sunane ko bohat kuch ham sunaa deN
tumheN sun,ne ki fursat hi kahaN hay
najma

tumheN/hay
:wink:

Posted: Wed May 04, 2005 11:16 am
by Hashmat Usmani
najma wrote:
sara_j wrote:Achchaa Hai Ke Tum Bhi Mohobbat Karne Lage Magar
Sunaane Ki Nahi Janaab! Sunne Ki Aadat Daalo.


Faiz Ahmed Faiz
sara jee! :-) :grin:
ye aap ke liye fil-badee, arz kya hay

sunane ko bohat kuch ham sunaa deN
tumheN sun,ne ki fursat hi kahaN hay
najma

tumheN/hay
:wink:
hmmm...fil_badeeh, merii jaanib se bhii ek hojaaye to muzaaiqa kia hogaa...agar bardaasht ke sakeN to, 'arz hai:

hai tumheN sunne_sunaane kii hii 'aadat to, suno!
hamah_tan_gosh haiN ham, phir hamko sunaao tum


Hashmat Usmani
HAMAH / TUM

Posted: Wed May 04, 2005 11:23 am
by najma
bohat khoob!


tum ko khursheed-e-jahaaN-taab dikhaaee dega
chehra-e-zeest se sarkeb gii jo shab kii chadar

chehra/chadar

Posted: Wed May 04, 2005 11:31 am
by Hashmat Usmani
chehra meraa thaa, nigaaheN uskii
Khaamoshii meN bhii vo baateN us kii


Parveen shaakir
Khaamoshii / KII

Posted: Wed May 04, 2005 11:39 am
by najma
khaam,shii bhi zabaan hoti hay
dard, ban jaey dil ki jab dhaRkan
najma

dard/dhaRkan

Posted: Wed May 04, 2005 12:27 pm
by Hashmat Usmani
dard baRh kar foGhaaN na ho jaaye
yeh zamiiN aasmaaN na ho jaaye


Jigar Moradabadi
YEH / JAAYE

Posted: Wed May 04, 2005 7:59 pm
by najma
jaa tujhe choR diya peer-e-muGhaaN ne khawar!
ye samajh kar, keh kharabaat pe kuch bas to naheeN

Posted: Wed May 04, 2005 9:44 pm
by Hashmat Usmani
yeh aarzuu thii tujhe gul ke ruu_ba_ruu karte
ham aur bulbul-e-be_taab guftuguu karte


Haidar Ali "Aatish"
HAM / KARTE

Posted: Wed May 04, 2005 9:53 pm
by najma
karte rahay jo chaand sitaroN ki guftguu
insaaN ki aabruu ke nigehbaaN na ho sake
najma


insaaN/ho sake

Posted: Thu May 05, 2005 9:53 am
by najma
hay shor wo har samt, keh mehfil pr giraaN hay
saqi se musalsal gila-e-tishna-labaaN hay
khawar

saqi/hay

Posted: Thu May 05, 2005 10:46 am
by Hashmat Usmani
saaqii kii har nigaah pe bal khaa ke pii gayaa
laharo.n se khelataa huaa laharaa ke pii gayaa


Jigar Moradabadi

Posted: Thu May 05, 2005 10:55 am
by Hashmat Usmani
saaqii kii har nigaah pe bal khaa ke pii gayaa
lahroN se kheltaa huaa, lahraa ke pii gayaa


Jigar Moradabadi