Page 18 of 43
javaab
Posted: Tue Jun 07, 2005 8:50 pm
by Abdullah Nazir
dil kii dehleez pah hasrat kaa diyaa rakhaa hei
aane waale ke liye jisko jalaa rakhkhaa hei.
Nazir.
Posted: Tue Jun 07, 2005 8:56 pm
by najma
zor kitna hay hawaoN meiN, ye dekhooN maiN bhi
ek nanhaa saa diyaa maiN ne jala rakkha hay
najma
jaaab
Posted: Wed Jun 08, 2005 2:23 am
by Abdullah Nazir
waqt ke saath badal jaate heiN insaaN kaise
yeh tamaashah hei Ajab dekhne waalaoN ke liye.
Nazir.
Posted: Wed Jun 08, 2005 8:54 am
by najma
tum ne nazar bachaa ke bhi dekha naheeN mujhe
merii nigaah-e-shauq to, tum par lagii rahii
najma
javaab
Posted: Wed Jun 08, 2005 9:04 am
by Abdullah Nazir
Shikwah qubool, phir bhii Haqeeqat kuch aur hei
deewaanagi meiN bhii , maiN tumheN dekhtaa rahaa.
Nazir.
Posted: Wed Jun 08, 2005 9:07 am
by najma
taab-e-nazzaaraa kise thii, kaun unko dekhtaa
ham to apne hosh ki dunya luTaa kar reh gaey
najma
Posted: Wed Jun 08, 2005 10:35 pm
by shahnaz zafar
sab kuch mai bhula baitha tha hangaamey jonoo mai
ab hosh mai aaya hoon to ghar dhoond raha hoon
Posted: Wed Jun 08, 2005 10:37 pm
by najma
qafas meiN thay, to har-ik shaakh intizaar meiN thii
qafas se nikle,to ab aashiyaaN naheeN milta
najma
javaab
Posted: Thu Jun 09, 2005 12:42 am
by Abdullah Nazir
samajh rahe thay ke dunyaa hei apne qaaboo meiN
magar wo but hei ke uskaa nishaaN nahiN miltaa.
Nazir.
Posted: Thu Jun 09, 2005 1:42 am
by najma
dair-o-haram ki raah se dil bach gaya magar
terii galii ke moR pe saudaaee ban gaya
saghar
Posted: Thu Jun 09, 2005 2:47 pm
by Taskeen
ye soch lo ab aaKhri saya hai muhabbat
is dar se uthoge to koyi dar na milegaa
Posted: Thu Jun 09, 2005 6:36 pm
by najma
gar ijazat ho to qismat aazmaa kar dekh leiN?
aap hi ke sang-e-dar pe sir jhuka kar dekh leiN?
najma
javaab
Posted: Sat Jun 11, 2005 3:05 am
by Abdullah Nazir
dil khulaa, aankheN khuli heiN, dar khulaa
chouR jaa khaT unkaa naamah bar khulaa.
Nazir.
Posted: Sat Jun 11, 2005 3:08 am
by najma
nazar aatii naheeN soorat koee tark-e-ta,alluq kii
keh ab to saathlay aataa hay nama-bar qalam kaGhaz
najma
Javaab
Posted: Sat Jun 11, 2005 7:29 am
by Abdullah Nazir
chalo achcha houaa, ab guftagu kii raah nikli hei
zaraa maiN bhii tou dekhooN kal kahaaN tak baat phonche gi.
Nazir.