Page 18 of 23

Posted: Tue May 31, 2005 12:25 am
by najma
aey Gham-e-dil kya karooN

=ye=

Posted: Tue May 31, 2005 2:23 am
by Taskeen
Yaad mein teri jaag jaag ke hum
raat bhar karwatien badalte hain

he se

Posted: Tue May 31, 2005 11:17 am
by najma
Taskeen wrote:Yaad mein teri jaag jaag ke hum
raat bhar karwatien badalte hain

he se

=yaad===kii =dal=se shuru karna hay. :-)

Posted: Tue May 31, 2005 12:10 pm
by najma
lo ye ham jaa rahay haiN

=wao=

Posted: Wed Jun 01, 2005 12:37 am
by Hashmat Usmani
vo jab yaad aaye, bahot yaad aaye
Gham-e-zindagii ke andhere meN ham ne
charaaGh-e-moHabbat jalaaye, bujhaaye

aahaTeN jaag uThiiN, raaste haNs diye
thaam kar dil uThe ham kisii ke liye
kaii baar aisaa bhii dhokhaa huaa hai
chale aa rahe haiN vo nazreN jhukaaye
vo jab yaad aaye.....

dil sulagne lagaa, ashk bahne lage
jaane kia-kia hameN log kahne lage
magar rote-rote haNsii aa gaii hai
KhayaaloN meN aa ke vo jab muskuraaye
vo jab yaad aaye.....

vo judaa kia huye, zindagii kho gaii
shamm'a jaltii rahii, raushnii kho gaii
bahot koshisheN kiiN magar dil na bahlaa
kaii saaz chheRe, kaii giit gaaye



gulu_kaar: MoHammad Raf'ii N lata Mangeshkar
Film: ParasmaNRii


agla naGhma Harf-e-"HE" se

Posted: Wed Jun 01, 2005 12:46 am
by najma
haey rayu insaam ki majbooriyaaN

=yey=

Posted: Wed Jun 01, 2005 1:07 am
by Hashmat Usmani
yeh duniyaa, yeh maHfil
mere kaam kii nahiiN - (2)

kisko sunaauuN Haal-e-dil be_qaraar kaa
bujhtaa huaa charaaGh huuN apne mazaar kaa
ai kaash! bhuul jaauuN magar bhuultaa nahiiN
kis dhuum se uThaa thaa janaaza bahaar kaa
yeh duniyaa...

apnaa pata mile,na Kabar yaar kii mile
dushman ko bhii na aisii sazaa pyaar kii mile
unko khudaa mile, hai khudaa kii jinheN talaash
mujhko bas ik jhalak mere dil_daar kii mile
yeh duniyaa...

sahraa meN aa ke bhii mujhko Thikaana na milaa
Gham ko bhuulaane kaa mujhko bahaana na milaa
dil tarse jis meN pyaar ko, kia samjhuuN us sansaar ko
ik jiitii baazii haar ke, maiN DhuuNDhuuN bichhRe yaar ko
yeh duniyaa...

duur nigaahoN se aaNsuu bahaataa hai koii
kaise na jaauuN maiN, mujhko bulaataa hai koii
yaa TuuTe dil ko joR do, yaa saare bandhan toR do
ai parbat! rasta de mujhe, ai kaaNTo! daaman chhoR do
yeh duniyaa...


gulu_kaar: MoHammad Raf'ii
Film: Heer Ranjha


agla naGhma Harf-e-HE se

Posted: Wed Jun 01, 2005 9:17 pm
by najma
ye jo mohabbat hay------

hay

Posted: Wed Jun 01, 2005 11:47 pm
by Hashmat Usmani
haaye haaye terii bindiyaa re
sajan bindiyaa, sajan dindiyaa le le gii ... le legii sajan nindiyaa
k aaye haaye terii nindiyaa re

sajaniyaa...sajaniyaa terii nindiyaa...le legii...le legii paijaniyaa

re, aaye haaye sajan bindiyaa....


YE se

Posted: Wed Jun 01, 2005 11:52 pm
by najma
yaaro! mujhe muaaf rakho

wao

Posted: Wed Jun 01, 2005 11:55 pm
by Hashmat Usmani
va'da kar le saajna, mere bin tu na rahe
tere bina maiN na rahuuN ... yeh va'da rahaa
na hoNge judaa...


chhoTii HE se

Posted: Thu Jun 02, 2005 12:22 am
by najma
haaey ray insaan ki majbooroiyaaN

=yey=

Posted: Thu Jun 02, 2005 1:07 am
by Hashmat Usmani
lijiye...YE se gaataa huN, aap apne kaanoN meN rooii ThooNs leN hahahaha

yeh kia jaghe hai, dosto!, yeh kaun saa dayaar hai
Had-e-nigaah tak jahaaM, Ghubaar hii Ghubaar hai
yeh kia jaghe hai dosto!

yeh kis maqaam par Hayaat, mujhko le ke aa gaii
na bas khushii pe jahaaN, na Gham pe ikhtiyaar hai
yeh kia jaghe hai, dosto!...

tamaam 'umr kaa Hisaab maangtii hai zindagii
maangtii hai zindagii
yeh meraa dil kahe to kia, yeh Khud se sharm_saar hai
yeh Khud se sharm_saar hai
yeh kia jaghe hai, dosto!...

bulaa rahaa kia koii chilmanoN ke us taraf
chilmanoN ke us taraf
mere liye bhii kia koii udaas, be_qaraar hai
udaas be_qaraar hai
yeh kia jagheN hai, dosto!...

(A nazm not in the song, but is there in the movie)

na jiskii shakl hai koii, na jiskaa naam hai koii
ik aisii shai kaa kiuN hameN azal se intezaar hai
yeh jaghe hai, dosto!...


gulu_kaarah: Asha Bhosle
naGhma_nigaar: Shahryaar
Film: Umraao Jaan


agla naGhama Harf-e-HE [majhoola] se

Posted: Thu Jun 02, 2005 12:09 pm
by najma
ham un se mohabbat kar k sanam------

=meem=

Posted: Fri Jun 03, 2005 1:02 pm
by najma
na na karte pyar---

--alif--