Page 19 of 44
Posted: Sat Jul 01, 2006 8:03 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
ta'jub hai keh tareekh-e-gulistaaN meN sabhee kuch hai
magar khun-e-shaheedan-e-wafa ka tazkirah gum hai.
shae'er muzaffar.
pasandeedah
Posted: Sun Jul 02, 2006 6:21 am
by Abdullah Nazir
"Yeh kaifiyyat use milti, hei jo jiske muqaddar meiN
mai-e-ulfat nah khum meiN hei nah sheeshe meiN nah saaghar meiN"
Shaayer: aatish
Nazir.
Posted: Sun Jul 02, 2006 5:49 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
pasandidah
Hal-e-dil hai koi khwaab aawar fasanah to naheeN
neend abhee se tum ko ae yaran-e-meHfil agae.
Hafeez hushiyar puree.
pasandeedah
Posted: Tue Jul 04, 2006 12:52 am
by Abdullah Nazir
"taab o Taaqat Sabr o raaHat jaan o eemaaN Aql o housh
haaye keaa kehiye ke dil ke saath kyaa kyaa jaaye hei"
Shaayer: Mumin
Nazir.
Posted: Wed Jul 05, 2006 12:51 pm
by hassan_bashir
tere naaz ke badaulat kabhii Gham ko Gham na samajhaa,
terii arazuu kee Khaatir kabhii maut bhii na chaahii!
pasandidah
Posted: Wed Jul 05, 2006 5:06 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
aek tum hi nah mil sake warnah
milne wale bichaR bichaR ke mile.
Pasandeedah
Posted: Thu Jul 06, 2006 1:40 am
by Abdullah Nazir
"laalah o gul peh jo hei qaTra-e-shabnam kee bahaar
rukh-e-rangeeN peh jo aaye tou Hayaa houjaaye"
Shaayer: Asghar GounDawi
Nazir.
Posted: Thu Jul 06, 2006 9:45 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
pasandidah
shukr hai us ne be wafaee kee
maiN kaRe imteHaan se nikla.
muneer neyazee.
pasandeedah
Posted: Fri Jul 07, 2006 4:13 am
by Abdullah Nazir
"Toote tiri nigeh se agar dil Habaab kaa
Paani bhee gar piyeN tou mazah de sharaab kaa."
Shaayer: dsifs.
Nazir.
Posted: Fri Jul 07, 2006 2:59 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Siyaad tere Hukm-e-rihaee ka shukriyah
ham to qafas meN kaaT chuke din bahaar ke.
Ustaad Qamar jalalwi
pasandeedah
Posted: Sat Jul 08, 2006 5:29 am
by Abdullah Nazir
"sajaake aayaa hooN Sayyaad aek ik tinkah
duAayeN degaa rahegaa jo aashiyaane meiN".
Shaayer: Qamar Jalaalawi
Nazir.
Posted: Sat Jul 08, 2006 1:55 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
qafas ke ho liye ham to magar ae aehl-e-gulshan tum
hameeN bhee yad kar lena chaman meN jab bahaar aae.
Ustaad Qamar Jalaalwi.
Posted: Sat Jul 08, 2006 2:27 pm
by hassan_bashir
laakhoN kii sunaa tum ne taqdiir saNvaarii hai
mujh se yahii kah dete ab ke terii baarii hai
pasandeedah
Posted: Sun Jul 09, 2006 5:03 am
by Abdullah Nazir
"hastee apni Habaab kee si hei
yeh numaayish saraab kee si hei
Shaayer: Meer Taqi Meer
Nazir.
Posted: Sun Jul 09, 2006 7:15 am
by zmufti
ab to uTh sakataa nahii.n aa.Nkho.n se baar-e-intazaar
kis tarah kaaTe ko_ii lail-o-nahaar-e-intazaar