Page 19 of 29
Posted: Tue May 30, 2006 9:18 am
by hassan_bashir
kahaa us but se jab: "martaa hai Momin!"
kahaa: "maiN kya karuuN?! marzii Khuda kii
???
Posted: Fri Jun 02, 2006 4:00 am
by Abdullah Nazir
ik umr ibtilaay-e-kashaayish meiN kaT gayi
kyaa ArZ-e-Haal hougaa bhalaa khaaksaar se
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Fri Jun 02, 2006 5:20 pm
by zmufti
abhi to daaman chhuRaa rahe ho, bigaR ke ~Qabil~ se jaa rahe ho
magar kabhi dil ki dhaDkanoN maiN shakreek paya to kya kaor ge?
???
Posted: Fri Jun 02, 2006 5:39 pm
by Abdullah Nazir
tire taghaaful-e-bejaa kaa thaa acar warnah
maiN teri bazm se kab itnaa be-qaraar uThaa.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sat Jun 03, 2006 5:54 pm
by zmufti
kab tak dil ki Kher manaayeN, kab tak raah dikhao ge?
kab tak chen ki mohlat do ge, kab tak yaad na aao ge?
???
Posted: Sun Jun 04, 2006 6:47 am
by Abdullah Nazir
Is ke siwaa kyaa reh gayaa, shaghl-e-aseeran-e-qafas
zanjeer-e-paa ko dekhnaa yaa jaanib-e-dar dekhnaa.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Jun 05, 2006 6:43 pm
by zmufti
yaadoN ke garaibanoN ke rafuu
yuN dil ki guazar kab hoti hai?
ek bakhia udheRa, ek siyaa
yuN umr basar kab hoti hai?
~Faiz~
???
Posted: Mon Jun 05, 2006 11:21 pm
by Abdullah Nazir
mulammaA kiyuN chaRhaaleti hei dunyaa apne chehreh per
Haqeeqat aur houti hei numaayish aur houti hei.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed Jun 07, 2006 8:03 pm
by zmufti
shayaan-e-shahadat na hua kiyoN koi mansoor
yaaro rasan-o-daar ka saaman to baham thaa
???
Posted: Thu Jun 08, 2006 1:27 am
by Abdullah Nazir
kisqadar Sabr-aazmaa thay zindagi ke marHale
baarhaa :Nazir: gumaaN guzraa shikebaayi gayi
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
???
Posted: Sun Jun 11, 2006 7:38 am
by Abdullah Nazir
Nazir firaaq-e-yaar meiN kyaa ArZ-e-mudduAaa
Hei chaarah-saaz kaun jo de aasraa mujhe???
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Jun 11, 2006 12:42 pm
by Zahid Jahangir
Na jaane kon duaa~oN mein yaad karta hai
main jab bhi doobta hooN samandar uchhal deta hai
???
Posted: Sun Jun 11, 2006 6:09 pm
by Abdullah Nazir
color=blue]
"kam nahiN hei dil-e-pur daagh bhee ai murgh-e-aseer
gul meiN kyaa hei jo houaa hei tuu Talabgaar-e-chaman".
Shaayer: Meer Taqi Meer
[/color]
Nazir.
Posted: Tue Jun 13, 2006 8:30 am
by hassan_bashir
ham par jo karam haiN, to adu par bhii navaazish!
kya Khaak rahe qadr tire qaul-o-qasam kii?!
???
Posted: Thu Jun 15, 2006 10:02 am
by Abdullah Nazir
b]
HooN tire shehr meiN begaana-e-iHsaas-e-khudee
kis TaraH se mujhe Haalaat kaa andaazah hou???
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
[/b]