Page 20 of 44
pasandeedah
Posted: Sun Jul 09, 2006 2:37 pm
by Abdullah Nazir
"shaam se taa SubH neend aayi nah ik dam tujh baghair
aag naalaoN ne lagaayi, ashk ne ToofaaN kiyaa."
Shayer: Haider Ali aatish
Nazir.
Posted: Sun Jul 09, 2006 10:38 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
mareeZ^-e-Gham peh ek aesee bhee shaam aatee hai
keh charah gar ko ummeed-e-seHer naheeN rehtee.
Qamar Jalalwi.
pasandeedah
Posted: Fri Jul 14, 2006 7:03 am
by Abdullah Nazir
"jaaNbalab rakhtaa hei ik rashk-e-maseeHaa kaa firaaq
dam nikal jaawe yeh Haalat hei hamaari in dinaoN".
Shaayer: Haali
Nazir.
Posted: Sat Jul 15, 2006 2:55 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
bhaNwar kee zad se to ham qaes bach hee nikle the
par aek shakhs hameeN saHilooN peh bar geya.
saeed qaes
pasandeedah
Posted: Sun Jul 16, 2006 3:20 am
by Abdullah Nazir
"bousa-e-chashm=e=ghazaalaaN mujhe yaad aate heiN
nahiN bhoolaa maiN mazah maiwa-e-SeHraayhi kaa".
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.
pasandeedah
Posted: Wed Jul 19, 2006 8:51 am
by Abdullah Nazir
"galaa kaTwaa maze le leke ai dil phir kahaN yeh din
kabhi gardan hou khanjar per kabhi khanjar ho gardan per".
Shaayer: ameer Meenayi
Nazir.
pasandeedah
Posted: Tue Jul 25, 2006 6:11 am
by Abdullah Nazir
"roThkar milne jo jaataa hooN tou kahtaa hei wo shoukh
kal khafaa tum thay mizaaj aaj hei naasaaz apna".
Shaayer: Haider Ali aatish
Nazir.
Posted: Wed Jul 26, 2006 7:14 pm
by zmufti
shoq barehna~pa chalta tha aur raste pathreele the
ghiste ghiste ghis gaye aakhir kankar jo nokeele the
pasandeedah
Posted: Thu Jul 27, 2006 1:54 pm
by Abdullah Nazir
"kis TaraH tum se nah maangeN tumheeN inSaaf karo
bousah lene kaa sazaawaar dahan hei kis kaa".
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.
Posted: Sat Jul 29, 2006 4:23 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
mareeZ^-e-Gham peh ik aesee bhee shaam aatee hai Qamar
keh chaarah gar ko ummeed-e-seHer naheeN rehtee.
Qamar Jalalwi marHoom
Posted: Mon Jul 31, 2006 1:00 pm
by hassan_bashir
diimak lagii luGhat se Khafaa ho ke eik din?!
mafhuum kii talaash meiN alfaaz jaayeN ge!!
Posted: Sat Aug 05, 2006 10:11 am
by hassan_bashir
koee vaada nahiN kiyaa lekin kyuN tira inteZaar rehtaa hai
be-vajah jab qaraar miil jaaye dil baRaa be-qaraar rehtaa hai
Posted: Sat Aug 05, 2006 6:47 pm
by zmufti
vo muddatoN ki judaaii ke ba'ad ham se milla
to is tarah se keh ab ham guraiz karne lage
pasandeedah
Posted: Sun Aug 06, 2006 4:27 am
by Abdullah Nazir
Lage monH bhee chiRaane dete dete gaaliyaaN SaaHib
zubaaN bigRi tou bigRi thee khabar leeje dahan bigRaa.
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.
Posted: Mon Aug 07, 2006 5:48 am
by zmufti
ik Khalish ko haasil-e-umr-e-ravaa.N rahane diyaa
jaan kar ham ne unhe.n naameharabaa.N rahane diyaa