Page 20 of 65

Posted: Tue May 10, 2005 2:53 am
by najma
haey, kis kis ka tuu khudaa hoga
itne eemaan le liye zalim!
majma

souchtaa

Posted: Fri May 13, 2005 5:05 am
by Abdullah Nazir



souchtaa hooN ke ilaaj-e-gham-e-tanhaayi tou hou

jaane kab tujh se mulaaqaat hou aur dil behle.


jaane / behle



Nazir.

[/color

Posted: Fri May 13, 2005 5:40 am
by Hashmat Usmani
ham dahr ke is viiraane meN jo kuchh bhii nazaara karate haiN
ashkoN kii zabaaN meN kahte haiN, aahoN se ishaara karte haiN


Moin AHsan "Jazbi"
ASHKON / HAIN

Posted: Fri May 13, 2005 2:00 pm
by najma
ashkoN ne dil ki baat zamane meiN aam kii
afsos, ghar ki baat , kahaaN tak chalii gaee
nafis ahmad siddiqui

Posted: Sun May 15, 2005 5:13 am
by Hashmat Usmani
gaii vo baat k ho guftuguu to kiuN_kar ho
kahe se kuchh na huaa, phir kaho! to kiuN_kar ho


Chachaa
KAHE / HO

Posted: Sun May 15, 2005 10:48 am
by najma
haaey , wo ehd-e-jawanii, wo shabaab
ab kahaaN sehn-e-chaman meiN rang-o-boo
nafis ahmad siddiqui
ab/boo

Posted: Sun May 15, 2005 2:02 pm
by najma
chalo acha hua tum bhool gaey
ik bhool hi tha miara pyar

ik/pyaar

Posted: Mon May 16, 2005 1:41 am
by Hashmat Usmani
ik 'aalam-e-Hairat hai, fanaa hai na baqaa hai
Hairat bhii yeh hai k kia jaaniye kia hai


AsGhar GonDvii
HAIRAT / HAI

Posted: Mon May 16, 2005 3:06 am
by najma
hay waqt ka ye taqaza k ham kalam kareN
shi,aar-e-khamushii aiy hamdamo! Ghazab hoga

shi,aar/hoga

Posted: Mon May 16, 2005 4:48 am
by Hashmat Usmani
ho ga phir parbat saa, pighlanaa chaahiye
is himaalay se koii daryaa nikalnaa chaahiye


Dushyant Kumar
IS / CHAAHIYE

Posted: Mon May 16, 2005 9:24 am
by najma
is tarah sheesha-e-dil TooT ke bukhra hay mira
maiN ne chaahaa keh uThaalooN, to uThaa bhi na sakii
najma

Posted: Mon May 16, 2005 11:51 pm
by Hashmat Usmani
yahaaN se ab kahiiN le chal Khayaal-e-yaar mujhe
chaman meN raas na aayegii yeh bahaar mujhe


Aziiz Waarsii
CHAMAN / MUJHE

Posted: Tue May 17, 2005 11:00 am
by najma
sara_j wrote:
najma wrote:is tarah sheesha-e-dil TooT ke bukhra hay mira
maiN ne chaahaa keh uThaalooN, to uThaa bhi na sakii
najma
(waah!)

main bhuul jaauuN ab yahii munaasib hai
magar bhuulanaa bhii chaahuuN to kis tarah bhuuluuN
ki tum to phir bhii haqiiqat ho koii Khvaab nahiin
yahaaN to dil kaa ye aalam hai kyaa kahuuN

yahaaN / kahuuN

bohat shukriya sara j
:grin:

Posted: Tue May 17, 2005 11:05 am
by najma
sara_j wrote:chaman roye hanse shabnam biyaabaaN par nikhaar aaye

ek aisaa bhii nayaa mausam mere parvar-digaar aaye


ek / aaye

ek maiN hooN ek meri be-kasi ki shaam hay
ab to tujhbin zindagii bhi mujh pe ik ilzaam hay
ab/hay

Posted: Wed May 18, 2005 4:36 am
by Hashmat Usmani
hai bas k har ik unke ishaare meN nishaaN aur
karte haiN moHabbat to guzartaa hai gumaaN aur


Chachaa
KARTE / AUR